mauj-e-tah-nashin
jaatī lahroñ pe tum ne kyā dekhā
kaun sī baat par machal uThe
kaun sā sukh tumheñ nazar aaya
kaun sā dukh bahā diyā tum ne
jaatī lahroñ ne kyā diyā tum ko
sirf sūraj kā TūTtā paikar
aur kuchh chāñdnī sī paanī meñ
uuprī sat.h se bahal to chuke
ab kuchh andar bhī jhāñk kar dekho
maiñ huuñ ik mauj-e-tah-nashīñ
mujh meñ
jaatī lahroñ kā bojh paltā hai
mere andar guhar machaltā hai
jati lahron pe tum ne kya dekha
kaun si baat par machal uThe
kaun sa sukh tumhein nazar aaya
kaun sa dukh baha diya tum ne
jati lahron ne kya diya tum ko
sirf suraj ka TuTta paikar
aur kuchh chandni si pani mein
upri sath se bahal to chuke
ab kuchh andar bhi jhank kar dekho
main hun ek mauj-e-tah-nashin
mujh mein
jati lahron ka bojh palta hai
mere andar guhar machalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.