maulana
bahut maiñ ne sunī hai aap kī taqrīr maulānā
magar badlī nahīñ ab tak mirī taqdīr maulānā
ḳhudārā shukr kī talqīn apne paas hī rakkheñ
ye lagtī hai mire siine pe ban kar tiir maulānā
nahīñ maiñ bol saktā jhuuT is darja DhiTā.ī se
yahī hai jurm merā aur yahī taqsīr maulānā
haqīqat kyā hai ye to aap jāneñ yā ḳhudā jaane
sunā hai jimmy-carter aap kā hai piir maulānā
zamīneñ hoñ vaDeroñ kī mashīneñ hoñ luTeroñ kī
ḳhudā ne likh ke dī hai ye tumheñ tahrīr maulānā
karoḌoñ kyuuñ nahīñ mil kar filistīñ ke liye laḌte
duā hī se faqat kaTtī nahīñ zanjīr maulānā
bahut main ne suni hai aap ki taqrir maulana
magar badli nahin ab tak meri taqdir maulana
KHudara shukr ki talqin apne pas hi rakkhen
ye lagti hai mere sine pe ban kar tir maulana
nahin main bol sakta jhuT is darja DhiTai se
yahi hai jurm mera aur yahi taqsir maulana
haqiqat kya hai ye to aap jaanen ya KHuda jaane
suna hai jimmy-carter aap ka hai pir maulana
zaminen hon waDeron ki mashinen hon luTeron ki
KHuda ne likh ke di hai ye tumhein tahrir maulana
karoDon kyun nahin mil kar filistin ke liye laDte
dua hi se faqat kaTti nahin zanjir maulana
- Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 181)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.