maulana mohammad ali jauhar
mujāhidīn-e-vatan meñ shumār un kā hai
har ek qaul-o-amal yādgār un kā hai
hai yaad qaum ko vo dāstāñ shujā.at kī
chalā.ī aap ne tahrīk jab ḳhilāfat kī
vo hurriyat kā parastār qaum kā rahbar
ḳhudā ne qaum ko aisā atā kiyā jauhar
vo qaid-o-band kī jhelī haiñ saḳhtiyāñ jis ne
uḌā.īñ jabr-o-ġhulāmī kī dhajjiyāñ jis ne
vo ahl-e-dard-o-suḳhnavar vo be-misāl ḳhatīb
siyāsiyāt kā māhir sahāfī aur adiib
mohammad aur alī kā hai faiz-e-rūhānī
ki un kā naam jahāñ meñ rahegā lā-fānī
mujahidin-e-watan mein shumar un ka hai
har ek qaul-o-amal yaadgar un ka hai
hai yaad qaum ko wo dastan shujaat ki
chalai aap ne tahrik jab KHilafat ki
wo hurriyat ka parastar qaum ka rahbar
KHuda ne qaum ko aisa ata kiya jauhar
wo qaid-o-band ki jheli hain saKHtiyan jis ne
uDain jabr-o-ghulami ki dhajjiyan jis ne
wo ahl-e-dard-o-suKHnawar wo be-misal KHatib
siyasiyat ka mahir sahafi aur adib
mohammad aur ali ka hai faiz-e-ruhani
ki un ka nam jahan mein rahega la-fani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.