maulwiyon ka shaghl-e-takfir
ik maulvī sāhab se kahā maiñ ne ki kyā aap
kuchh hālat-e-europe se ḳhabar-dār nahīñ haiñ
āmāda-e-islām haiñ london meñ hazāroñ
har chand abhī mā.il-e-iz.hār nahīñ haiñ
taqlīd ke phandoñ se hue jaate haiñ āzād
vo log bhī jo dāḳhil-e-isrār nahīñ haiñ
jo naam se islām ke ho jaate haiñ barham
un meñ bhī ta.assub ke vo āsār nahīñ haiñ
afsos magar ye hai ki vaa.iz nahīñ paidā
yā haiñ to ba-qaul aap ke dīñ-dār nahīñ haiñ
kyā aap ke zumre meñ kisī ko nahīñ ye dard
kyā aap bhī us ke liye tayyār nahīñ haiñ
jhallā ke kahā ye ki ye kyā sū-e-adab hai
kahte ho vo bāteñ jo sazā-vār nahīñ haiñ
karte haiñ shab-o-roz musalmānoñ kī takfīr
baiThe hue kuchh ham bhī to be-kār nahīñ haiñ
ek maulwi sahab se kaha main ne ki kya aap
kuchh haalat-e-europe se KHabar-dar nahin hain
aamada-e-islam hain london mein hazaron
har chand abhi mail-e-izhaar nahin hain
taqlid ke phandon se hue jate hain aazad
wo log bhi jo daKHil-e-israr nahin hain
jo nam se islam ke ho jate hain barham
un mein bhi tassub ke wo aasar nahin hain
afsos magar ye hai ki waiz nahin paida
ya hain to ba-qaul aap ke din-dar nahin hain
kya aap ke zumre mein kisi ko nahin ye dard
kya aap bhi us ke liye tayyar nahin hain
jhalla ke kaha ye ki ye kya su-e-adab hai
kahte ho wo baaten jo saza-war nahin hain
karte hain shab-o-roz musalmanon ki takfir
baiThe hue kuchh hum bhi to be-kar nahin hain
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 80)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.