mausam-e-barsat ki subh
aaj jis vaqt mujhe tum ne jagāyā ammāñ
apne aur niiñd ke pahlū se uThāyā ammāñ
āsmāñ kamlī thā oḌhe hue kaalī kaalī
tāzgī aur safedī se fazā thī ḳhālī
na añdherā hī thā shab kā na ujālā din kā
raat ke gird nazar aatā thā haalā din kā
ek bulandī kī kaḌak pastī ko dhuñdlātī thī
dil hilātī huī āvāz sunī jaatī thī
sub.h har chaar taraf rotī huī phirtī thī
apnā muñh āñsuoñ se dhotī huī phirtī thī
jaise nanhā sā maiñ beTā huuñ tumhārā ammāñ
aise hī sub.h kā ik laal hai pyārā ammāñ
jaise maiñ khelne jaatā huuñ bahut duur kahīñ
aise hī sharq meñ hai aaj vo mastūr kahīñ
kho gayā hai nazar aatā nahīñ bachcha us kā
DhūñDhtī laakh hai paatā nahīñ bachcha us kā
dekho to sub.h kā dil sard hai be-nūr hai aañkh
apne bachcha ke tasavvur hī se māmūr hai aañkh
mujh ko jaane do ki maiñ DhūñD ke lā.ūñ us ko
ġham-zada sub.h ke pahlū meñ biThā.ūñ us ko
aaj jis waqt mujhe tum ne jagaya amman
apne aur nind ke pahlu se uThaya amman
aasman kamli tha oDhe hue kali kali
tazgi aur safedi se faza thi KHali
na andhera hi tha shab ka na ujala din ka
raat ke gird nazar aata tha haala din ka
ek bulandi ki kaDak pasti ko dhundlati thi
dil hilati hui aawaz suni jati thi
subh har chaar taraf roti hui phirti thi
apna munh aansuon se dhoti hui phirti thi
jaise nanha sa main beTa hun tumhaara amman
aise hi subh ka ek lal hai pyara amman
jaise main khelne jata hun bahut dur kahin
aise hi sharq mein hai aaj wo mastur kahin
kho gaya hai nazar aata nahin bachcha us ka
DhunDhti lakh hai pata nahin bachcha us ka
dekho to subh ka dil sard hai be-nur hai aankh
apne bachcha ke tasawwur hi se mamur hai aankh
mujh ko jaane do ki main DhunD ke laun us ko
gham-zada subh ke pahlu mein biThaun us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.