mausam-e-sarma ki barish ka ye pahla roz hai
mausam-e-sarmā kī bārish kā ye pahlā roz hai
dhund hai atrāf meñ sūraj ke ḳhvāb-e-garm par
maiñ ki jo mahsūr huuñ ārām-e-husn-e-yār meñ
ik hifāzat sī hai mujh ko jism kī mahkār meñ
yaad aur maujūd donoñ kī haqīqat is meñ hai
ġham kī tāqat ko ġhalat karne kī himmat is meñ hai
sehr itne haiñ jamāl-e-mehrbān-e-yār meñ
jitne is sarmā kī bārish ke hasīñ asrār meñ
mausam-e-sarma ki barish ka ye pahla roz hai
dhund hai atraf mein suraj ke KHwab-e-garm par
main ki jo mahsur hun aaram-e-husn-e-yar mein
ek hifazat si hai mujh ko jism ki mahkar mein
yaad aur maujud donon ki haqiqat is mein hai
gham ki taqat ko ghalat karne ki himmat is mein hai
sehr itne hain jamal-e-mehrban-e-yar mein
jitne is sarma ki barish ke hasin asrar mein
- Book : chhe rangi darwaze (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.