tumhārī ḳhāmoshiyoñ meñ
muskurāte haiñ mere alfāz
aur tumhāre gāloñ par khil uThte haiñ
mausam ke taaza gulāb
tumhārī nīm-bāz āñkhoñ se
phūTtā hai raushnī kā koī ābshār
jis meñ rah-rah bhīgtā hai
mere sapnoñ kā sansār
mujhe ḳhvāb pasand haiñ
tumheñ maiñ
tumheñ gulāb pasand haiñ
aur mujhe tum
mujhe sochte hue tumhārī āñkhoñ meñ
zarūr tairtī hogī
rajnigandha bela yā har-siñgār kī ḳhushbū
mujhe sochtī huī tum
yā tumheñ dekhtā huā maiñ
hamīñ haiñ shāyad jin se milne ke liye
fazāoñ meñ tairte hai rang
chaman par utartī haiñ bahāreñ
mausam kaisā bhī ho
mere lafzoñ meñ gūñjtī raheñgī tumhārī khilkhilāhaTeñ
merī āñkhoñ meñ bachī rahegī
tumhārī āñkhoñ kī lau
aur merī sāñsoñ meñ ghulī rahegī
tumhāre ghane bāloñ kī mādak gandh
hameñ pata hai ki
tumhārī bātoñ aur mere maun meñ Duubā yeh mausam
hameñ le jā.egā is sadī ke us paar
tumhaari KHamoshiyon mein
muskuraate hain mere alfaz
aur tumhaare galon par khil uThte hain
mausam ke taza gulab
tumhaari nim-baz aankhon se
phuTta hai raushni ka koi aabshaar
jis mein rah-rah bhigta hai
mere sapnon ka sansar
mujhe KHwab pasand hain
tumhein main
tumhein gulab pasand hain
aur mujhe tum
mujhe sochte hue tumhaari aankhon mein
zarur tairti hogi
rajnigandha bela ya har-singar ki KHushbu
mujhe sochti hui tum
ya tumhein dekhta hua main
hamin hain shayad jin se milne ke liye
fazaon mein tairte hai rang
chaman par utarti hain bahaaren
mausam kaisa bhi ho
mere lafzon mein gunjti rahengi tumhaari khilkhilahaTen
meri aankhon mein bachi rahegi
tumhaari aankhon ki lau
aur meri sanson mein ghuli rahegi
tumhaare ghane baalon ki madak gandh
hamein pata hai ki
tumhaari baaton aur mere maun mein Duba yeh mausam
hamein le jaega is sadi ke us par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.