mausam ki pahli barish
ek jhoñke ne purvā ke chheḌā unheñ
peḌ raqsāñ rahe raat bhar
bhīgī miTTī kī ḳhushbū ubhartī rahī
kārvāñ bādaloñ kā Thahar sā gayā
girtī būñdoñ ne jaadū kuchh aisā kiyā
har tasavvur haqīqat meñ Dhalne lagā
maiñ bhī raqsāñ rahī raat bhar
un hī peḌoñ ke sañg
tū kahīñ paas thā
ek jhonke ne purwa ke chheDa unhen
peD raqsan rahe raat bhar
bhigi miTTi ki KHushbu ubharti rahi
karwan baadalon ka Thahar sa gaya
girti bundon ne jadu kuchh aisa kiya
har tasawwur haqiqat mein Dhalne laga
main bhi raqsan rahi raat bhar
un hi peDon ke sang
tu kahin pas tha
- Book : Asaleeb (Pg. 245)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.