mausam mere dil ke
mere ghar ke āñgan meñ to
jaane pahchāne sab mausam
apne vaqt pe aa jaate haiñ
mausam-e-gul meñ
surḳh gulāb aur piilā geñdā
ujlā belā gorī chamelī
champā aur gul-e-dā.ūdī
kitne rang bikhar jaate haiñ
phir mausam karvaT letā hai
yaḳh-basta be-mehr havā
jab raqs-e-zamistāñ kā āġhāz kiyā kartī hai
saarā āñgan zard shikasta-jāñ pattoñ se bhar jaatā hai
mere dil ke āñgan meñ bhī
ye jaane pahchāne mausam aate jaate rahte haiñ
lekin ye ik baat ajab hai
kisht-e-dil meñ jitnī qismoñ ke bhī phuul khilā karte haiñ
saare surḳh huā karte haiñ
aur patjhaḌ meñ yaḳh-basta be-mehr havā
jab raqs-e-zamistāñ kā āġhāz kiyā kartī hai
shāḳhoñ se girne vaale patte bhī
sabz huā karte haiñ
mere ghar ke aangan mein to
jaane pahchane sab mausam
apne waqt pe aa jate hain
mausam-e-gul mein
surKH gulab aur pila genda
ujla bela gori chameli
champa aur gul-e-daudi
kitne rang bikhar jate hain
phir mausam karwaT leta hai
yaKH-basta be-mehr hawa
jab raqs-e-zamistan ka aaghaz kiya karti hai
sara aangan zard shikasta-jaan patton se bhar jata hai
mere dil ke aangan mein bhi
ye jaane pahchane mausam aate jate rahte hain
lekin ye ek baat ajab hai
kisht-e-dil mein jitni qismon ke bhi phul khila karte hain
sare surKH hua karte hain
aur patjhaD mein yaKH-basta be-mehr hawa
jab raqs-e-zamistan ka aaghaz kiya karti hai
shaKHon se girne wale patte bhi
sabz hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.