mausam
saal meñ aate mausam chaar
patjhaḌ garmī sardī bahār
garmī kā hai apnā rang
kar detī hai sab ko tang
garmī joban par jab aa.e
aa kar ye fasloñ ko pakā.e
garmī aa.e aam bhī laa.e
ye ham sab ke dil ko bhaa.e
ḳharbūze tarbūz bhī aa.eñ
sab mil baiTheñ kāTeñ khā.eñ
sardī kā ik apnā maza hai
coat sweater pahan liyā hai
kiinū mālToñ kī kasrat hai
ghar meñ chaltā ye sharbat hai
abbū daftar se ghar aa.eñ
mūñgphalī chilġhoze laa.eñ
baiTh ke sab T v ke aage
kaT kaT kaT kaT khāte jaa.eñ
sardī kā ab zor hai TuuTā
ḳhālī pattoñ se har buuTā
tūfāñ sar sar karte aa.eñ
pattoñ se āñgan bhar jaa.eñ
patjhaḌ aayā ye batlā.eñ
manzar sab ko ye dikhlā.eñ
lo aayā phūloñ kā mausam
kaliyāñ ḳhushbū jugnū shabnam
gulshan kaise jhuum rahe haiñ
panchhī Daal pe ghuum rahe haiñ
giit fazā.eñ gaatī jaa.eñ
har sū rañg bikhrātī jaa.eñ
mil jaatā hai sab ko sukh bhī
rahtā nahīñ baaqī phir dukh bhī
ham mausam ko jaan ga.e haiñ
ham rab ko pahchān ga.e haiñ
sal mein aate mausam chaar
patjhaD garmi sardi bahaar
garmi ka hai apna rang
kar deti hai sab ko tang
garmi joban par jab aae
aa kar ye faslon ko pakae
garmi aae aam bhi lae
ye hum sab ke dil ko bhae
KHarbuze tarbuz bhi aaen
sab mil baiThen kaTen khaen
sardi ka ek apna maza hai
coat sweater pahan liya hai
kinu malTon ki kasrat hai
ghar mein chalta ye sharbat hai
abbu daftar se ghar aaen
mungphali chilghoze laen
baiTh ke sab T w ke aage
kaT kaT kaT kaT khate jaen
sardi ka ab zor hai TuTa
KHali patton se har buTa
tufan sar sar karte aaen
patton se aangan bhar jaen
patjhaD aaya ye batlaen
manzar sab ko ye dikhlaen
lo aaya phulon ka mausam
kaliyan KHushbu jugnu shabnam
gulshan kaise jhum rahe hain
panchhi Dal pe ghum rahe hain
git fazaen gati jaen
har su rang bikhraati jaen
mil jata hai sab ko sukh bhi
rahta nahin baqi phir dukh bhi
hum mausam ko jaan gae hain
hum rab ko pahchan gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.