maut aur ishq
dīda-e-aflāk ne dekhe bahut inqilāb
ahd-e-kuhan ke nishāñ mahv hue misl-e-ḳhvāb
ek fareb-e-nazar vahm-e-sukūn-o-sabāt
ziist hai ik mustaqil kashmakash-e-iztirāb
jin kī nigāhoñ se thī shorish-e-bazm-e-jahāñ
maut kī āġhosh meñ aaj haiñ vo mahv-e-ḳhvāb
jin kī bulandī se thī rif.at-e-gardūñ ḳhajil
haiñ vo ravāq-e-buland aaj tabāh-o-ḳharāb
vaqt ke har naqsh kā maut hī anjām hai
haiñ isī qānūn meñ jakḌe hue shaiḳh-o-shāb
maut ke be-rahm haath chhīn liyā tū ne aah
kitne saroñ kā uruuj kitne diloñ kā sabāt
nesh-e-ajal se magar un ko nahīñ kuchh gazand
ishq kī lazzat se haiñ jin ke jigar kāmyāb
jin kī nigāhoñ meñ hai ishq kā sirr-e-nihāñ
ishq hai asl-e-kamāl ishq hai ain-e-sabāt
kyā hai ajal parda-e-hastī ke uThne kā naam
ishq uThā detā hai pahle hī se ye hijāb
maut se hotī hai duur ruuh kī ālūdgī
ishq se paatī hai ruuh aur sivā āb-o-tāb
maut milā detī hai zarre ko ḳhurshīd se
ishq banā detā hai zarra hī ko āftāb
un ke liye maut ik hosh kā paiġhām hai
zindagī musta.ār jin kī hai mānind-e-ḳhvāb
ruuh agar pahle hī ishq se bedār ho
be-asar us ke liye maut ho yā inqilāb
dida-e-aflak ne dekhe bahut inqilab
ahd-e-kuhan ke nishan mahw hue misl-e-KHwab
ek fareb-e-nazar wahm-e-sukun-o-sabaat
zist hai ek mustaqil kashmakash-e-iztirab
jin ki nigahon se thi shorish-e-bazm-e-jahan
maut ki aaghosh mein aaj hain wo mahw-e-KHwab
jin ki bulandi se thi rifat-e-gardun KHajil
hain wo rawaq-e-buland aaj tabah-o-KHarab
waqt ke har naqsh ka maut hi anjam hai
hain isi qanun mein jakDe hue shaiKH-o-shab
maut ke be-rahm hath chhin liya tu ne aah
kitne saron ka uruj kitne dilon ka sabaat
nesh-e-ajal se magar un ko nahin kuchh gazand
ishq ki lazzat se hain jin ke jigar kaamyab
jin ki nigahon mein hai ishq ka sirr-e-nihan
ishq hai asl-e-kamal ishq hai ain-e-sabaat
kya hai ajal parda-e-hasti ke uThne ka nam
ishq uTha deta hai pahle hi se ye hijab
maut se hoti hai dur ruh ki aaludgi
ishq se pati hai ruh aur siwa aab-o-tab
maut mila deti hai zarre ko KHurshid se
ishq bana deta hai zarra hi ko aaftab
un ke liye maut ek hosh ka paigham hai
zindagi mustaar jin ki hai manind-e-KHwab
ruh agar pahle hi ishq se bedar ho
be-asar us ke liye maut ho ya inqilab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.