maut dil se lipaT gai us shab
ek ḳhvāb-e-hazīmat duniyā
ek aahaT davām ḳhvāhish kī
ek joḌī qadīm hāthoñ kī
aur āñkhoñ ke band farġhul meñ
ek ḳhvāhish hamesha rahne kī
ek bistar purānī yādoñ kā
aur soyā huā dil-e-vahshī
āhanī uñgliyoñ ke panje meñ
ik ghanī tīrgī ke raste meñ
zā.iqa bhūlī-bisrī bārish kā
ek saaya jhukā huā dil par
der tak āsmāñ se girtī huī
ek maddham sadā darīchoñ meñ
ek pur-shor sail kī āvāz
saañs kī silvaTeñ Dubotī huī
kaun thā is samay ke āñgan meñ
jāgtī raat ko thapaktā huā
kaun thā rāt-din ke phere meñ
ga.ī duniyāoñ se ubhartā huā
ro rahā thā dayār-e-ġhurbat meñ
aur mādūm ke ilāqe meñ
apnī āñkhoñ meñ Daal kar miTTī
ḳhvāb taktā huā maiñ bachpan ke
ek hañste hue guzishta meñ
ek KHwab-e-hazimat duniya
ek aahaT dawam KHwahish ki
ek joDi qadim hathon ki
aur aankhon ke band farghul mein
ek KHwahish hamesha rahne ki
ek bistar purani yaadon ka
aur soya hua dil-e-wahshi
aahani ungliyon ke panje mein
ek ghani tirgi ke raste mein
zaiqa bhuli-bisri barish ka
ek saya jhuka hua dil par
der tak aasman se girti hui
ek maddham sada darichon mein
ek pur-shor sail ki aawaz
sans ki silwaTen Duboti hui
kaun tha is samay ke aangan mein
jagti raat ko thapakta hua
kaun tha raat-din ke phere mein
gai duniyaon se ubharta hua
ro raha tha dayar-e-ghurbat mein
aur madum ke ilaqe mein
apni aankhon mein Dal kar miTTi
KHwab takta hua main bachpan ke
ek hanste hue guzishta mein
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 53)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.