maut
ajiib lamha hai
maut kā bhī
na ḳhauf sāthī
na aas hamdam
ajiib shai hai ye aadmī bhī
jo maut ke Dar se kāñptā hai
jo aas kī Dor thāmtā hai
use ḳhabar hai ki maut kyā hai
magar vo phir bhī
fasīl-e-bīm-o-rajā kā qaidī
ḳhud apnī karnī se bhāgtā hai
use ḳhabar hai ki maut jiine kā aasrā hai
use ḳhabar hai
ajiib lamha hai maut kā bhī
na aas hamdam
na ḳhauf sāthī
ajib lamha hai
maut ka bhi
na KHauf sathi
na aas hamdam
ajib shai hai ye aadmi bhi
jo maut ke Dar se kanpta hai
jo aas ki Dor thamta hai
use KHabar hai ki maut kya hai
magar wo phir bhi
fasil-e-bim-o-raja ka qaidi
KHud apni karni se bhagta hai
use KHabar hai ki maut jine ka aasra hai
use KHabar hai
ajib lamha hai maut ka bhi
na aas hamdam
na KHauf sathi
- Book : Lafz lafz Nauha (Pg. 156)
- Author : Farooq Nazki
- Publication : Tabish Publication Srinagar Kashmeer (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.