maut ka farishta
is baat se koī farq nahīñ paḌtā
ki javān beTe kī maut kis tarah vaaq.e huī
swimming pool meñ Duub jaane se, dimāġh ke sartān se
yā tez-raftār motor-bicycle ke sāmne dīvār ke aa jaane se
is baat se bhī koī farq nahīñ paḌtā
ki marne vaalā zindagī se nabard-āzmā kisī shā.era yā shā.er kā beTā thā
yā rāj-pūt nasl kā koī zinda-dil māzūl shahzāda
yā marne vaale javān beTe kā naam kabīr, tāriq ahad yā kuchh aur thā
javān beTe kī maut
insān ko paanī meñ halāk karne par māmūr farishte ne lī
yā ḳhushkī par insānī ruuh qabz karne ke majāz farishte ne
aisī yā aisī kisī bhī baat se
koī farq nahīñ paḌtā
kyūñki maut kā farishta tīnoñ maqāmāt par
javān beTe ko maañ baap se judā karne meñ nākām rahā
maut kā farishta lagā rahtā hai din raat
apnī nākāmī kā intiqām lene meñ
TukḌe TukḌe kartā rahtā hai
maañ baap kā dil
jaise kaaTā jaatā hai machine ke tez dhaar ब्लेड se
maveshiyoñ kā chāra
koḌe mārtā rahtā hai maañ baap kī zaḳhmī ruuh ko barhana kar ke
ījād kartā rahtā hai nit-na.e tarīqe
maañ baap ke bache-khuche dil ko aziyyat pahuñchāne ke
maut kā farishta dāḳhil ho jaatā hai baġhair ijāzat
kisī shā.er ke bed-rōm meñ raat ḳharāb karne
majbūr kar detā hai shā.er ko
zaḳhmoñ se karāhtī nazm likhne par
is baat se koi farq nahin paDta
ki jawan beTe ki maut kis tarah waqe hui
swimming pool mein Dub jaane se, dimagh ke sartan se
ya tez-raftar motor-bicycle ke samne diwar ke aa jaane se
is baat se bhi koi farq nahin paDta
ki marne wala zindagi se nabard-azma kisi shaera ya shaer ka beTa tha
ya raj-put nasl ka koi zinda-dil mazul shahzada
ya marne wale jawan beTe ka nam kabir, tariq ahad ya kuchh aur tha
jawan beTe ki maut
insan ko pani mein halak karne par mamur farishte ne li
ya KHushki par insani ruh qabz karne ke majaz farishte ne
aisi ya aisi kisi bhi baat se
koi farq nahin paDta
kyunki maut ka farishta tinon maqamat par
jawan beTe ko man bap se juda karne mein nakaam raha
maut ka farishta laga rahta hai din raat
apni nakaami ka intiqam lene mein
TukDe TukDe karta rahta hai
man bap ka dil
jaise kaTa jata hai machine ke tez dhaar ब्लेड se
maweshiyon ka chaara
koDe marta rahta hai man bap ki zaKHmi ruh ko barhana kar ke
ijad karta rahta hai nit-nae tariqe
man bap ke bache-khuche dil ko aziyyat pahunchane ke
maut ka farishta daKHil ho jata hai baghair ijazat
kisi shaer ke bed-room mein raat KHarab karne
majbur kar deta hai shaer ko
zaKHmon se karahti nazm likhne par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.