maut ka git
arsh kī aaḌ meñ insān bahut khel chukā
ḳhūn-e-insān se haivān bahut khel chukā
mor-e-be-jāñ se sulaiman bahut khel chukā
vaqt hai aao do-ālam ko digar-gūñ kar deñ
qalb-e-gītī maiñ tabāhī ke sharāre bhar deñ
zulmat-e-kufr ko īmān nahīñ kahte haiñ
sag-e-ḳhūñ-ḳhār ko insān nahīñ kahte haiñ
dushman-e-jāñ ko nigahbān nahīñ kahte haiñ
jaag uThne ko hai ab ḳhuuñ kā talātum dekho
malak-ul-maut ke chehre kā tabassum dekho
jaan lo qahr kā sailāb kise kahte haiñ
nā-gahāñ maut kā girdāb kise kahte haiñ
qabr ke pahluoñ kī daab kise kahte haiñ
daur-e-nā-shād ko ab shaad kiyā jā.egā
rūh-e-insāñ ko āzād kiyā jā.egā
nāla-e-be-asar allāh ke bandoñ ke liye
sila-e-dār-o-rasan haq ke rasūloñ ke liye
qasr-e-shaddād ke dar band haiñ bhūkoñ ke liye
phūñk do qasr ko gar kun kā tamāshā hai yahī
zindagī chhīn lo duniyā se jo duniyā hai yahī
zalzaloñ aao dahakte hue laao aao
bijlio aao garaj-dār ghatāo aao
āñdhiyo aao jahannam kī havāo aao
aao ye kurra-e-nāpāk bhasam kar Dāleñ
kasa-e-dahr ko ma.amūr-e-karam kar Dāleñ
arsh ki aaD mein insan bahut khel chuka
KHun-e-insan se haiwan bahut khel chuka
mor-e-be-jaan se sulaiman bahut khel chuka
waqt hai aao do-alam ko digar-gun kar den
qalb-e-giti main tabahi ke sharare bhar den
zulmat-e-kufr ko iman nahin kahte hain
sag-e-KHun-KHar ko insan nahin kahte hain
dushman-e-jaan ko nigahban nahin kahte hain
jag uThne ko hai ab KHun ka talatum dekho
malak-ul-maut ke chehre ka tabassum dekho
jaan lo qahr ka sailab kise kahte hain
na-gahan maut ka girdab kise kahte hain
qabr ke pahluon ki dab kise kahte hain
daur-e-na-shad ko ab shad kiya jaega
ruh-e-insan ko aazad kiya jaega
nala-e-be-asar allah ke bandon ke liye
sila-e-dar-o-rasan haq ke rasulon ke liye
qasr-e-shaddad ke dar band hain bhukon ke liye
phunk do qasr ko gar kun ka tamasha hai yahi
zindagi chhin lo duniya se jo duniya hai yahi
zalzalon aao dahakte hue lao aao
bijlio aao garaj-dar ghatao aao
aandhiyo aao jahannam ki hawao aao
aao ye kurra-e-napak bhasam kar Dalen
kasa-e-dahr ko mamur-e-karam kar Dalen
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.