maut
kaun āvāra havāoñ kā subuk-bār hujūm
aah ehsās kī zanjīr garāñ TuuT ga.ī
aur sarmāya-e-anfās pareshāñ na rahā
mere siine meñ ulajhne lagī fariyād mirī
phir nigāhoñ pe umañD aayā hai tārīk dhuāñ
TimTimānā hai mire saath ye māyūs charāġh
aaj miltā nahīñ afsos patañgoñ kā nishāñ
mere siine meñ ulajhne lagī fariyād mirī
TuuT kar rah ga.ī anfās kī zanjīr-e-girāñ
toḌ Dālegā ye kambaḳht makāñ kī dīvār
aur maiñ dab ke isī Dher meñ rah jā.ūñgā
jī ulajhtā hai mirī jaan pe ban jā.egī
thak gayā aaj shikārī kī kamāñ TuuT ga.ī
lauT aayā huuñ bahut duur se ḳhālī hāthoñ
aaj ummīd kā din biit gayā shaam huī
maiñ ne chāhā bhī magar tum se mohabbat na huī
ki chuke ab to ḳhudā ke liye ḳhāmosh raho
ek mauhūm sī ḳhvāhish thī falak chhūne kī
zañg-ālūd mohabbat ko tujhe sauñp diyā
sard hāthoñ se mirī jaan mire hoñT na sī
gar kabhī lauT ke aa jaa.e vahī sāñvlī raat
ḳhushk āñkhoñ meñ jhalak aa.e na be-sūd namī
zalzala uf ye dhamākā ye musalsal dastak
be-amāñ raat kabhī ḳhatm bhī hogī ki nahīñ
uf ye maġhmūm fazāoñ kā alamnāk sukūt
mere siine meñ dabī jaatī hai āvāz mirī
tīrgī uf ye dhuñdlakā mire nazdīk na aa
ye mire haath pe jaltī huī kyā chiiz girī
aaj is ashk-e-nadāmat kā koī mol nahīñ
aah ehsās kī zanjīr-e-girāñ TuuT ga.ī
aur ye merī mohabbat bhī tujhe jo hai aziiz
kal ye maazī ke ghane bojh meñ dab jā.egī
kaun aayā hai zarā ek nazar dekh to lo
kyā ḳhabar vaqt dabe paañv chalā aayā ho
zalzala uf ye dhamākā ye musalsal dastak
khaTkhaTātā hai koī der se darvāze ko
uf ye maġhmūm fazāoñ kā alamnāk sukūt
kaun aayā hai zarā ek nazar dekh to lo
toḌ Dālegā ye kambaḳht makāñ kī dīvār
aur maiñ dab ke isī Dher meñ rah jā.ūñgā
kaun aawara hawaon ka subuk-bar hujum
aah ehsas ki zanjir garan TuT gai
aur sarmaya-e-anfas pareshan na raha
mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri
phir nigahon pe umanD aaya hai tarik dhuan
TimTimana hai mere sath ye mayus charagh
aaj milta nahin afsos patangon ka nishan
mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri
TuT kar rah gai anfas ki zanjir-e-giran
toD Dalega ye kambaKHt makan ki diwar
aur main dab ke isi Dher mein rah jaunga
ji ulajhta hai meri jaan pe ban jaegi
thak gaya aaj shikari ki kaman TuT gai
lauT aaya hun bahut dur se KHali hathon
aaj ummid ka din bit gaya sham hui
main ne chaha bhi magar tum se mohabbat na hui
ki chuke ab to KHuda ke liye KHamosh raho
ek mauhum si KHwahish thi falak chhune ki
zang-alud mohabbat ko tujhe saunp diya
sard hathon se meri jaan mere honT na si
gar kabhi lauT ke aa jae wahi sanwli raat
KHushk aankhon mein jhalak aae na be-sud nami
zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak
be-aman raat kabhi KHatm bhi hogi ki nahin
uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut
mere sine mein dabi jati hai aawaz meri
tirgi uf ye dhundlaka mere nazdik na aa
ye mere hath pe jalti hui kya chiz giri
aaj is ashk-e-nadamat ka koi mol nahin
aah ehsas ki zanjir-e-giran TuT gai
aur ye meri mohabbat bhi tujhe jo hai aziz
kal ye mazi ke ghane bojh mein dab jaegi
kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo
kya KHabar waqt dabe panw chala aaya ho
zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak
khaTkhaTata hai koi der se darwaze ko
uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut
kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo
toD Dalega ye kambaKHt makan ki diwar
aur main dab ke isi Dher mein rah jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.