maut ke us taraf
koī sirr-e-nihāñ hai ki bāzār hai
kyā sitāroñ kā tābāñ koī qāfila
yā buland aur tārīk dīvār hai
ḳhaak uḌtī hai yā ḳhushbueñ haiñ ravāñ
koī sahrā hai yā ik chaman-zār hai
koī apnā bhī hai
yā hujūm-e-balā shahr-e-aġhyār hai
koī zinda bhī hai
yā ki har samt nāshoñ kā ambār hai
ik ḳhalā hai ki phir
bār-e-imkān hai
raah pur-ḳhār hai
jañg hai amn hai
faisla hai vahāñ
jiit hai haar hai
maut ke us taraf
kuchh nahīñ hai to kyuuñ
sar pe āvezāñ vahshat kī talvār hai
maiñ huuñ yā
nuqta-e-be-amāñ
jism ke dā.ere meñ giraftār hai
tū hai yā
ā.ina-sāz
val-asr kā
mahv-e-dīdār hai
maut ke us taraf
koi sirr-e-nihan hai ki bazar hai
kya sitaron ka taban koi qafila
ya buland aur tarik diwar hai
KHak uDti hai ya KHushbuen hain rawan
koi sahra hai ya ek chaman-zar hai
koi apna bhi hai
ya hujum-e-bala shahr-e-aghyar hai
koi zinda bhi hai
ya ki har samt nashon ka ambar hai
ek KHala hai ki phir
bar-e-imkan hai
rah pur-KHar hai
jang hai amn hai
faisla hai wahan
jit hai haar hai
maut ke us taraf
kuchh nahin hai to kyun
sar pe aawezan wahshat ki talwar hai
main hun ya
nuqta-e-be-aman
jism ke daere mein giraftar hai
tu hai ya
aaina-saz
wal-asr ka
mahw-e-didar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.