Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ki KHushbu

Saqi Faruqi

maut ki KHushbu

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    judā.ī mohabbat ke dariyā-e-ḳhūñ muāvin nadī hai

    vafā yaad shāḳh-e-marjāñ se lipTī huī hai

    dil-ārām-o-ushshāq sab ḳhauf ke dā.ere meñ khaḌe haiñ

    havāoñ meñ bosoñ baasī mahak hai

    nigāhoñ meñ ḳhvāboñ ke TuuTe hue aa.ine haiñ

    diloñ ke jazīroñ meñ ashkoñ ke nīlam chhupe haiñ

    ragoñ meñ koī rūd-e-ġham bah rahā hai

    magar dard ke biij paḌte raheñge

    magar log milte bichhaḌte raheñge

    ye sab ġham purāne

    ye milne bichhaḌne ke mausam purāne

    purāne ġhamoñ se na.e ġham ulajhne chale haiñ

    laboñ par na.e niil dil meñ na.e biij paḌne lage haiñ

    ġhanīm āsmānoñ meñ dushman jahāzoñ sargoshiyāñ haiñ

    sitāroñ jaltī huī bastiyāñ haiñ

    aur āñkhoñ ke radar par sirf tārīk parchhā.iyāñ haiñ

    hameñ maut tez ḳhushbū ne pāgal kiyā hai

    umīdoñ surḳh ābdozoñ meñ sahme

    tabāhī ke kaale samundar meñ bahte chale rahe haiñ

    karāñ tā-karāñ ek gāḌhā kasīlā dhuāñ hai

    zamīñ terī miTTī jaadū kahāñ hai

    judai mohabbat ke dariya-e-KHun ki muawin nadi hai

    wafa yaad ki shaKH-e-marjaan se lipTi hui hai

    dil-aram-o-ushshaq sab KHauf ke daere mein khaDe hain

    hawaon mein boson ki basi mahak hai

    nigahon mein KHwabon ke TuTe hue aaine hain

    dilon ke jaziron mein ashkon ke nilam chhupe hain

    ragon mein koi rud-e-gham bah raha hai

    magar dard ke bij paDte rahenge

    magar log milte bichhaDte rahenge

    ye sab gham purane

    ye milne bichhaDne ke mausam purane

    purane ghamon se nae gham ulajhne chale hain

    labon par nae nil dil mein nae bij paDne lage hain

    ghanim aasmanon mein dushman jahazon ki sargoshiyan hain

    sitaron ki jalti hui bastiyan hain

    aur aankhon ke radar par sirf tarik parchhaiyan hain

    hamein maut ki tez KHushbu ne pagal kiya hai

    umidon ki surKH aabdozon mein sahme

    tabahi ke kale samundar mein bahte chale ja rahe hain

    karan ta-karan ek gaDha kasila dhuan hai

    zamin teri miTTi ka jadu kahan hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now