maut man ki tarah sath hai
is galī kā sirā bhī kahīñ kī saḌak par hī uglegā
tārīk muñh phāḌtī
is galī meñ utar jaao
gahre utar jaao
badbū dimāġhoñ meñ bhartī hai
bhar jaa.e ġham mat karo
piip ḳhuun aur me.ade kī sab gandagī
saaf kapḌoñ pe aatī hai
aa jaa.e ġham mat karo
us galī meñ uḌ kar bhaTaknā hai Takrāte phirnā hai
kho jaao Takrāo ġham mat karo
maut maañ kī tarah saath hai
maut
badbū añdherā thakan piip ḳhuuñ aur me.ade kī sab gandagī ko
nigal jā.egī
aage baḌho
aur gahre utar jaao
gahre utar jaao
is gali ka sira bhi kahin ki saDak par hi uglega
tarik munh phaDti
is gali mein utar jao
gahre utar jao
badbu dimaghon mein bharti hai
bhar jae gham mat karo
pip KHun aur meade ki sab gandagi
saf kapDon pe aati hai
aa jae gham mat karo
us gali mein uD kar bhaTakna hai Takraate phirna hai
kho jao Takrao gham mat karo
maut man ki tarah sath hai
maut
badbu andhera thakan pip KHun aur meade ki sab gandagi ko
nigal jaegi
aage baDho
aur gahre utar jao
gahre utar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.