maut
maut manzil hai
ham musāfir haiñ
zindagī ik hasīn rāsta hai
qāfile haiñ ravāñ-davāñ jis par
umr goyā hai ek naqsh-e-qadam
ham jise chhoḌ kar sadā pīchhe
vaqt ke saath aage baḌhte haiñ
aur isī tarah ek din āḳhir
apnī manzil pe jā pahuñchte haiñ
maut manzil hai
hum musafir hain
zindagi ek hasin rasta hai
qafile hain rawan-dawan jis par
umr goya hai ek naqsh-e-qadam
hum jise chhoD kar sada pichhe
waqt ke sath aage baDhte hain
aur isi tarah ek din aaKHir
apni manzil pe ja pahunchte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.