maut-o-hayat
ek dhokā hai samajhte ho jise maut-o-hayāt
ġhaur se dekho na jiitā hai na martā koī
aah kuchh khel nahīñ ālam-e-imkāñ kā vajūd
zarre-zarre meñ chamaktā hai ḳhud-ārā koī
parda-e-ālam-e-takvīñ meñ chhupā kar ḳhud ko
anjuman-band huā hai chaman-ārā koī
aap har rang meñ kartā hai tamāshā apnā
yaañ na gulshan hai na dariyā hai na sahrā koī
maut vo khel hai jis meñ nahīñ chhīnā-jhapTī
na ḳhushī se magar is khel ko khelā koī
zindagī khel ke parde kā vo ruḳh hai jis se
jhāñk kar apnā tamāshā hai dikhātā koī
ek dhoka hai samajhte ho jise maut-o-hayat
ghaur se dekho na jita hai na marta koi
aah kuchh khel nahin aalam-e-imkan ka wajud
zarre-zarre mein chamakta hai KHud-ara koi
parda-e-alam-e-takwin mein chhupa kar KHud ko
anjuman-band hua hai chaman-ara koi
aap har rang mein karta hai tamasha apna
yan na gulshan hai na dariya hai na sahra koi
maut wo khel hai jis mein nahin chhina-jhapTi
na KHushi se magar is khel ko khela koi
zindagi khel ke parde ka wo ruKH hai jis se
jhank kar apna tamasha hai dikhata koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.