jawan-marg ka nauha
hameñ javānī meñ maut aa.egī
bhīgte takiye ke sard siine pe
apnī sāñsoñ meñ garm bāñhoñ kī pyaas le kar sulagne vaalī
har ek doshīza jāntī hai
ki aañkh jab ḳhvāb ke sahīfe ko chaaT le gī
to nuuh capsule se pukāregā
pyāre beTe' amaañ meñ aao
lo, maiñ ne jo qabr umr ke belche se apne liye banā.ī hai
us kī rānoñ meñ
tum bhī apnā badan sameTo
tumhāre ek haath chāñd aur dūsre pe sūraj
ki maslahat kī craze qaa.em rahe
glamour tumhāre collar meñ phuul ban kar khile
ai beTe, ye shahr uryāniyoñ meñ nuchḌe-gā
aur is par azaab daa.im hai
hamein jawani mein maut aaegi
bhigte takiye ke sard sine pe
apni sanson mein garm banhon ki pyas le kar sulagne wali
har ek doshiza jaanti hai
ki aankh jab KHwab ke sahife ko chaT le gi
to nuh capsule se pukarega
pyare beTe' aman mein aao
lo, main ne jo qabr umr ke belche se apne liye banai hai
us ki ranon mein
tum bhi apna badan sameTo
tumhaare ek hath chand aur dusre pe suraj
ki maslahat ki craze qaem rahe
glamour tumhaare collar mein phul ban kar khile
ai beTe, ye shahr uryaniyon mein nuchDe-ga
aur is par azab daim hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 42)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.