mujhe ab Dar nahin lagta
kisī ke duur jaane se
ta.alluq TuuT jaane se
kisī ke maan jaane se
kisī ke ruuTh jaane se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
kisī ko āzmāne se
kisī ke āzmāne se
kisī ko yaad rakhne se
kisī ko bhuul jaane se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
kisī ko chhoḌ dene se
kisī ke chhoḌ jaane se
nā sham.a ko jalāne se
nā sham.a ko bujhāne se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
akele muskurāne se
kabhī aañsū bahāne se
nā is saare zamāne se
haqīqat se fasāne se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
kisī kī nā-rasā.ī se
kisī kī pārsā.ī se
kisī kī bevafā.ī se
kisī dukh intihā.ī se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
nā to is paar rahne se
nā to us paar rahne se
nā apnī zindagānī se
nā ik din maut aane se
mujhe ab Dar nahīñ lagtā
kisi ke dur jaane se
talluq TuT jaane se
kisi ke man jaane se
kisi ke ruTh jaane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ko aazmane se
kisi ke aazmane se
kisi ko yaad rakhne se
kisi ko bhul jaane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ko chhoD dene se
kisi ke chhoD jaane se
na shama ko jalane se
na shama ko bujhane se
mujhe ab Dar nahin lagta
akele muskurane se
kabhi aansu bahane se
na is sare zamane se
haqiqat se fasane se
mujhe ab Dar nahin lagta
kisi ki na-rasai se
kisi ki parsai se
kisi ki bewafai se
kisi dukh intihai se
mujhe ab Dar nahin lagta
na to is par rahne se
na to us par rahne se
na apni zindagani se
na ek din maut aane se
mujhe ab Dar nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.