maut to yaqini hai
is tarah satāte ho
dūriyāñ baḌhāte ho
dūriyāñ baḌhāne se
fāsle nahīñ baḌhte
hausle nahīñ ghaTte
manziloñ ko paane kā
azm jo bhī kartā hai
vo qadam baḌhātā hai
chāñd chhū ke aatā hai
taare toḌ laatā hai
thak ke baiTh jaanā to
maut kī alāmat hai
aur merā īmāñ hai
maut to yaqīnī hai
vaqt par hī aa.egī
phir maiñ kis liye āḳhir
rok luuñ qadam apne
maut ke farishte ko
rū-ba-rū khaḌā pā kar
is tarah satate ho
duriyan baDhate ho
duriyan baDhane se
fasle nahin baDhte
hausle nahin ghaTte
manzilon ko pane ka
azm jo bhi karta hai
wo qadam baDhata hai
chand chhu ke aata hai
tare toD lata hai
thak ke baiTh jaana to
maut ki alamat hai
aur mera iman hai
maut to yaqini hai
waqt par hi aaegi
phir main kis liye aaKHir
rok lun qadam apne
maut ke farishte ko
ru-ba-ru khaDa pa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.