maut
vaa.iz
apne chehre pe nabātāt ugā luuñ to chalūñ
itr kuchh mal luuñ zarā ḳhud ko sajā luuñ to chalūñ
murġh biryānī dahī qorma khā luuñ to chalūñ
aur phūlā huā ye peT chhupā luuñ to chalūñ
vazīr
ik shabistān-e-tamannā hai jahāñ kuchh bhī nahīñ
bar na aa.ī hui ummīdoñ se huuñ ġham-āgīñ
uf ye phailī huī shādāb-o-ḳhush-ā.ind zamīñ
is pe do-chār mahal aur banā luuñ to chalūñ
shauhar
vo kahāñ mar ga.ī aa.ī thī abhī aur chal dī
ghar meñ sab ḳhatm hai bāzār se lā.ūñ haldī
kisī ḳhairātī shifā-ḳhāne meñ jā kar jaldī
apne nanhe ko maiñ inDōr karā luuñ to chalūñ
clerk
raat bhar jaag ke rough draft banā luuñ jā kar
apne rūThe hue sāhab ko manā luuñ jā kar
aur ruḳhsat vahīñ manzūr karā luuñ jā kar
phir double roTī ke do toast bhī khā luuñ to chalūñ
mister
dry cleaner se vo patlūn jo aa.ī laanā
jo double rate pe aa.ī hai dhulā.ī laanā
pin lagā ke vo jo tie hai parā.ī laanā
maiñ zarā apnī attachi ko sambhālūñ to chalūñ
waiz
apne chehre pe nabaatat uga lun to chalun
itr kuchh mal lun zara KHud ko saja lun to chalun
murgh biryani dahi qorma kha lun to chalun
aur phula hua ye peT chhupa lun to chalun
wazir
ek shabistan-e-tamanna hai jahan kuchh bhi nahin
bar na aai hui ummidon se hun gham-agin
uf ye phaili hui shadab-o-KHush-aind zamin
is pe do-chaar mahal aur bana lun to chalun
shauhar
wo kahan mar gai aai thi abhi aur chal di
ghar mein sab KHatm hai bazar se laun haldi
kisi KHairaati shifa-KHane mein ja kar jaldi
apne nanhe ko main inDoor kara lun to chalun
clerk
raat bhar jag ke rough draft bana lun ja kar
apne ruThe hue sahab ko mana lun ja kar
aur ruKHsat wahin manzur kara lun ja kar
phir double roTi ke do toast bhi kha lun to chalun
mister
dry cleaner se wo patlun jo aai lana
jo double rate pe aai hai dhulai lana
pin laga ke wo jo tie hai parai lana
main zara apni attachi ko sambhaalun to chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.