Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut

MORE BYZahida Zaidi

    ufuq-e-zīst se ik aur sitāra TuuTā

    ik kiran aur huī raat zulmat meñ asiir

    phir kisī naġhma-e-betāb lai saaz se āzād huī

    ek tābinda haqīqat ki jo thī raaz huī

    sard paimān-e-vafā sard huī ātish-e-shauq

    sard jazbāt tūfān ḳhamosh

    sard tābinda nigāhoñ ke sharār

    sard-bar-kaifiyat-e-ġham sulagtī huī aag

    jaam pur-shor se gir jaane do nākām tamannāoñ mai

    farsh-e-mai-ḳhāna-e-ulfat pe ulaT do sāġhar

    sar-nigūñ band darīchoñ meñ ummīdoñ ke diye gul kar do

    dāstāñ soz-o-mohabbat adhūrī hai

    magar

    alamiya ḳhatm huā

    dil-shikan āḳhirī manzar pe girā do parde

    ufuq-e-zist se ek aur sitara TuTa

    ek kiran aur hui raat ki zulmat mein asir

    phir kisi naghma-e-betab ki lai saz se aazad hui

    ek tabinda haqiqat ki jo thi raaz hui

    sard paiman-e-wafa sard hui aatish-e-shauq

    sard jazbaat ka tufan KHamosh

    sard tabinda nigahon ke sharar

    sard-bar-kaifiyat-e-gham ki sulagti hui aag

    jam pur-shor se gir jaane do nakaam tamannaon ki mai

    farsh-e-mai-KHana-e-ulfat pe ulaT do saghar

    sar-nigun band darichon mein ummidon ke diye gul kar do

    dastan soz-o-mohabbat ki adhuri hai

    magar

    alamiya KHatm hua

    dil-shikan aaKHiri manzar pe gira do parde

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Maut Azra Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now