Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur aurten

Jan Nisar Akhtar

mazdur aurten

Jan Nisar Akhtar

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

chehroñ pe ḳhaak dhuul ke poñchhe hue nishāñ

aur rañg-e-ġhāza-o-gulgūna-o-shahāb

sochā bhī kis ke ḳhuun bantī haiñ surḳhiyāñ

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

maile phaTe libās haiñ mahrūm-e-shast-o-shū

aur itr o ambar o mushk o abiir o uud

mazdūr ke bhī ḳhuun aatī hai is meñ

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

tan Dhāñkne ko Thiik se kapḌā nahīñ hai paas

aur harīr o atlas o kam-ḳhvāb o parniyāñ

chubhtā nahīñ badan pe tire reshmī libās

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

chāñdī koī ganjh na sone koī taar

aur haikal-e-zar o āveza-e-guhar

siine pe koī dam bhī dhaḌaktā hai terā haar

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

sadiyoñ se har nigāh hai fāqoñ rahguzar

aur ziyāfatoñ meñ ba-sad-nāz jalva-gar

kis ke lahū se garm hai ye mez bahār

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

tārīk maqbaroñ se makāñ in ke kam nahīñ

aur zeb-o-zīnat-e-alvān-e-zar-nigār

kyā tere qasr-e-nāz hiltī nahīñ zamīñ

gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ

mehnat un saaz hai mehnat un raag

aur shuġhl-e-rāmish-o-raqs-o-rabāb-o-rañg

kyā tere saaz meñ bhī dahaktī hai koī aag

gulnār dekhtī haiñ ye mazdūr aurteñ

mehnat pe apne peT se majbūr aurteñ

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

chehron pe KHak dhul ke ponchhe hue nishan

tu aur rang-e-ghaza-o-gulguna-o-shahab

socha bhi kis ke KHun ki banti hain surKHiyan

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

maile phaTe libas hain mahrum-e-shast-o-shu

tu aur itr o ambar o mushk o abir o ud

mazdur ke bhi KHun ki aati hai is mein bu

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

tan Dhankne ko Thik se kapDa nahin hai pas

tu aur harir o atlas o kam-KHwab o parniyan

chubhta nahin badan pe tere reshmi libas

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

chandi ka koi ganjh na sone ka koi tar

tu aur haikal-e-zar o aaweza-e-guhar

sine pe koi dam bhi dhaDakta hai tera haar

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

sadiyon se har nigah hai faqon ki rahguzar

tu aur ziyafaton mein ba-sad-naz jalwa-gar

kis ke lahu se garm hai ye mez ki bahaar

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

tarik maqbaron se makan in ke kam nahin

tu aur zeb-o-zinat-e-alwan-e-zar-nigar

kya tere qasr-e-naz ki hilti nahin zamin

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten

mehnat hi un ka saz hai mehnat hi un ka rag

tu aur shughl-e-ramish-o-raqs-o-rabab-o-rang

kya tere saz mein bhi dahakti hai koi aag

gulnar dekhti hain ye mazdur aurten

mehnat pe apne peT se majbur aurten

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

mazdur aurten Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now