Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur ki maut

Shatir Hakeemi

mazdur ki maut

Shatir Hakeemi

MORE BYShatir Hakeemi

    vaqt maarā huā insāñ ra.ūnat shikār

    jis mehnat natīja azmat-e-sarmāya-dār

    asl meñ hindostāñ bādshah lekin ġhulām

    zindagī dūsrī manzil meñ hai garm-e-ḳhirām

    phir rahā hai chilchilātī dhuup meñ dīvāna-vār

    bāl-bachchoñ tasavvur kar rahā hai be-qarār

    ḳhuun paanī ek kar ke daam jab milte nahīñ

    haath phailā kar bhī kyā degā koī nān-e-javīñ

    ibtidā hai tīsre faaqe ghar meñ kuchh nahīñ

    soch kar kuchh ghar jānib chal paḌā mard-e-hazīñ

    dekhtā kyā hai ki bachcha bhuuk se hai be-qarār

    jaise koī maar khā ke bhāgne vaalā shikār

    god meñ biThlā ke maañ samjhā rahī hai pyaar se

    aate hoñge tire abbā abhī bāzār se

    us se ye iflās manzar na dekhā sakā

    be-tahāshā chīḳh maarī sar paTak kar mar gayā

    ek sannāTā zamīñ se āsmāñ tak chhā gayā

    vaqt ke māthe pe halkā pasīna aa gayā

    haif ai arz-e-muqaddas mādar-e-hindostāñ

    tere bachche aur yuuñ ho jaa.eñ benām-o-nishāñ

    waqt ka mara hua insan raunat ka shikar

    jis ki mehnat ka natija azmat-e-sarmaya-dar

    asl mein hindostan ka baadshah lekin ghulam

    zindagi ki dusri manzil mein hai garm-e-KHiram

    phir raha hai chilchilati dhup mein diwana-war

    baal-bachchon ka tasawwur kar raha hai be-qarar

    KHun pani ek kar ke dam jab milte nahin

    hath phaila kar bhi kya dega koi nan-e-jawin

    ibtida hai tisre faqe ki ghar mein kuchh nahin

    soch kar kuchh ghar ki jaanib chal paDa mard-e-hazin

    dekhta kya hai ki bachcha bhuk se hai be-qarar

    jaise koi mar kha ke bhagne wala shikar

    god mein biThla ke man samjha rahi hai pyar se

    aate hi honge tere abba abhi bazar se

    us se ye iflas ka manzar na dekha ja saka

    be-tahasha chiKH mari sar paTak kar mar gaya

    ek sannaTa zamin se aasman tak chha gaya

    waqt ke mathe pe halka sa pasina aa gaya

    haif ai arz-e-muqaddas madar-e-hindostan

    tere bachche aur yun ho jaen benam-o-nishan

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now