mazdur
gard chehre par pasīne meñ jabīñ Duubī huī
āñsuoñ meñ kuhniyoñ tak āstīñ Duubī huī
piiTh par nāqābil-e-bardāsht ik bār-e-garāñ
zo.af se larzī huī saare badan kī jhurriyāñ
haDDiyoñ meñ tez chalne se chaTaḳhne kī sadā
dard meñ Duubī huī majrūh Taḳhne kī sadā
paañv miTTī kī tahoñ meñ mel se chikTe hue
ek badbū-dār mailā chīthaḌā bāñdhe hue
jā rahā hai jānvar kī tarah ghabrātā huā
hāñptā girtā laraztā Thokareñ khātā huā
muzmahil vāmāñdgī se aur fāqoñ se niDhāl
chaar paise kī tavaqqo.a saare kumbe kā ḳhayāl
apne ham-jinsoñ kī be-mehrī se māyūs-o-malūl
safha-e-hastī par ik satr-e-ġhalat harf-e-fuzūl
apnī ḳhilqat ko gunāhoñ kī sazā samjhe hue
aadmī hone ko la.anat aur balā samjhe hue
zindagī ko nāgavār ik sāneha jaane hue
bazm-e-kibr-o-nāz meñ farz apnā pahchāne hue
rāste meñ rāhgīroñ kī nazar se be-niyāz
shorish-e-mātam se naġhmoñ ke asar se be-niyāz
us ke dil tak zindagī kī raushnī jaatī nahīñ
bhuul kar bhī us ke hoñToñ par hañsī aatī nahīñ
ek lamha bhī nahīñ fikr-e-ma.īshat se najāt
sub.h ho yā shaam hai tārīk us kī kā.enāt
dekh ai qārūn-e-āzam dekh ai sarmāya-dār
nā-murādī kā muraqqa.a be-kasī kā shāhkār
go hai terī hī tarah insāñ magar maqhūr hai
dekh ai daulat ke andhe saañp ye mazdūr hai
gard chehre par pasine mein jabin Dubi hui
aansuon mein kuhniyon tak aastin Dubi hui
piTh par naqabil-e-bardasht ek bar-e-garan
zoaf se larzi hui sare badan ki jhurriyan
haDDiyon mein tez chalne se chaTaKHne ki sada
dard mein Dubi hui majruh TaKHne ki sada
panw miTTi ki tahon mein mel se chikTe hue
ek badbu-dar maila chithaDa bandhe hue
ja raha hai jaanwar ki tarah ghabraata hua
hanpta girta larazta Thokaren khata hua
muzmahil wamandgi se aur faqon se niDhaal
chaar paise ki tawaqqoa sare kumbe ka KHayal
apne ham-jinson ki be-mehri se mayus-o-malul
safha-e-hasti par ek satr-e-ghalat harf-e-fuzul
apni KHilqat ko gunahon ki saza samjhe hue
aadmi hone ko lanat aur bala samjhe hue
zindagi ko nagawar ek saneha jaane hue
bazm-e-kibr-o-naz mein farz apna pahchane hue
raste mein rahgiron ki nazar se be-niyaz
shorish-e-matam se naghmon ke asar se be-niyaz
us ke dil tak zindagi ki raushni jati nahin
bhul kar bhi us ke honTon par hansi aati nahin
ek lamha bhi nahin fikr-e-maishat se najat
subh ho ya sham hai tarik us ki kaenat
dekh ai qarun-e-azam dekh ai sarmaya-dar
na-muradi ka muraqqa be-kasi ka shahkar
go hai teri hi tarah insan magar maqhur hai
dekh ai daulat ke andhe sanp ye mazdur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.