mazdur ki maut
vaqt kā maarā huā insāñ ra.ūnat kā shikār
jis kī mehnat kā natīja azmat-e-sarmāya-dār
asl meñ hindostāñ kā bādshah lekin ġhulām
zindagī kī dūsrī manzil meñ hai garm-e-ḳhirām
phir rahā hai chilchilātī dhuup meñ dīvāna-vār
bāl-bachchoñ kā tasavvur kar rahā hai be-qarār
ḳhuun paanī ek kar ke daam jab milte nahīñ
haath phailā kar bhī kyā degā koī nān-e-javīñ
ibtidā hai tīsre faaqe kī ghar meñ kuchh nahīñ
soch kar kuchh ghar kī jānib chal paḌā mard-e-hazīñ
dekhtā kyā hai ki bachcha bhuuk se hai be-qarār
jaise koī maar khā ke bhāgne vaalā shikār
god meñ biThlā ke maañ samjhā rahī hai pyaar se
aate hī hoñge tire abbā abhī bāzār se
us se ye iflās kā manzar na dekhā jā sakā
be-tahāshā chīḳh maarī sar paTak kar mar gayā
ek sannāTā zamīñ se āsmāñ tak chhā gayā
vaqt ke māthe pe halkā sā pasīna aa gayā
haif ai arz-e-muqaddas mādar-e-hindostāñ
tere bachche aur yuuñ ho jaa.eñ benām-o-nishāñ
waqt ka mara hua insan raunat ka shikar
jis ki mehnat ka natija azmat-e-sarmaya-dar
asl mein hindostan ka baadshah lekin ghulam
zindagi ki dusri manzil mein hai garm-e-KHiram
phir raha hai chilchilati dhup mein diwana-war
baal-bachchon ka tasawwur kar raha hai be-qarar
KHun pani ek kar ke dam jab milte nahin
hath phaila kar bhi kya dega koi nan-e-jawin
ibtida hai tisre faqe ki ghar mein kuchh nahin
soch kar kuchh ghar ki jaanib chal paDa mard-e-hazin
dekhta kya hai ki bachcha bhuk se hai be-qarar
jaise koi mar kha ke bhagne wala shikar
god mein biThla ke man samjha rahi hai pyar se
aate hi honge tere abba abhi bazar se
us se ye iflas ka manzar na dekha ja saka
be-tahasha chiKH mari sar paTak kar mar gaya
ek sannaTa zamin se aasman tak chha gaya
waqt ke mathe pe halka sa pasina aa gaya
haif ai arz-e-muqaddas madar-e-hindostan
tere bachche aur yun ho jaen benam-o-nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.