mazdur ki zindagi
dopahar kā vaqt garmā kī havā.eñ tez-tar
mehr kī tābish se pighle jā rahe haiñ dasht-o-dar
garm hai nahroñ kā paanī sard hai nabz-e-bahār
ḳhushk patte jeb-o-dāman kar rahe haiñ tārtār
jal rahā hai sabza-e-be-rañg farsh-e-ḳhāk par
bhun rahā hai dhuup kī tezī se getī kā jigar
tund jhoñke aa rahe haiñ dāman-e-kohsār se
sar-zamīn-e-rañg-o-bū par aag barsāte hue
jānvar sab maare maare phir rahe haiñ khet meñ
jaise koī karvaTeñ letā ho taptī ret meñ
haa.e vo mazdūr jis ke paa.e himmat par nisār
sañg-dil sarmāya-dārī kā sar-e-nā-pā.edār
jis ke bal-būte pe itrātī hai lailā-e-zamīñ
jis kī haibat se laraz jaatā hai charḳh-e-ambarīñ
Dūbtī nabzoñ meñ dauḌātā hai jo ḳhūn-e-hayāt
jis ke dam se jagmagā uThtī hai bazm-e-kā.enāt
jis kī nazroñ se chamaktā hai tamaddun kā shabāb
sar-nigūñ hai jis ke aage ahd-e-nau kā āftāb
ho nahīñ saktā ki vo ārām le din ko kabhī
kufr hai maz.hab meñ us ke kāhilī kī zindagī
zindagī kyā maut se Dartā nahīñ mard-e-hazīñ
phir bhī is duniyā meñ koī pūchhne vaalā nahīñ
aaj bhī hai is balā kī dhuup meñ masrūf-e-kār
go mahall-e-aish meñ bad-mast hai sarmāya-dār
kyā khaḌā taktā hai sūrat ahd-e-hāzir ke javāñ
haañ miTā de dushman-e-insāf kā nām-o-nishāñ
dopahar ka waqt garma ki hawaen tez-tar
mehr ki tabish se pighle ja rahe hain dasht-o-dar
garm hai nahron ka pani sard hai nabz-e-bahaar
KHushk patte jeb-o-daman kar rahe hain tartar
jal raha hai sabza-e-be-rang farsh-e-KHak par
bhun raha hai dhup ki tezi se geti ka jigar
tund jhonke aa rahe hain daman-e-kohsar se
sar-zamin-e-rang-o-bu par aag barsate hue
jaanwar sab mare mare phir rahe hain khet mein
jaise koi karwaTen leta ho tapti ret mein
hae wo mazdur jis ke pae himmat par nisar
sang-dil sarmaya-dari ka sar-e-na-paedar
jis ke bal-bute pe itraati hai laila-e-zamin
jis ki haibat se laraz jata hai charKH-e-ambarin
Dubti nabzon mein dauData hai jo KHun-e-hayat
jis ke dam se jagmaga uThti hai bazm-e-kaenat
jis ki nazron se chamakta hai tamaddun ka shabab
sar-nigun hai jis ke aage ahd-e-nau ka aaftab
ho nahin sakta ki wo aaram le din ko kabhi
kufr hai mazhab mein us ke kahili ki zindagi
zindagi kya maut se Darta nahin mard-e-hazin
phir bhi is duniya mein koi puchhne wala nahin
aaj bhi hai is bala ki dhup mein masruf-e-kar
go mahall-e-aish mein bad-mast hai sarmaya-dar
kya khaDa takta hai surat ahd-e-hazir ke jawan
han miTa de dushman-e-insaf ka nam-o-nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.