mazhab-e-insaniyat
hindū muslim sikh īsā.ī
sab mil kar ik giit likheñge
giit kī dhun par ahd kareñge
saarī nafrat bhuul ke ham ik ho jā.eñge
ik duuje ke dukhḌoñ meñ ham kho jā.eñge
tum bhī insāñ ham bhī insāñ
pyaar hī hai ham sab kā īmāñ
nayā maz.hab tashkīl kareñge
ab na koī but ham pūjeñge
jag meñ insāñ-rāj rahegā
yak-jehtī kā taaj rahegā
aao mil kar giit likheñ ham
giit kī dhun par ahd kareñ ham
hindu muslim sikh isai
sab mil kar ek git likhenge
git ki dhun par ahd karenge
sari nafrat bhul ke hum ek ho jaenge
ek duje ke dukhDon mein hum kho jaenge
tum bhi insan hum bhi insan
pyar hi hai hum sab ka iman
naya mazhab tashkil karenge
ab na koi but hum pujenge
jag mein insan-raj rahega
yak-jehti ka taj rahega
aao mil kar git likhen hum
git ki dhun par ahd karen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.