mear
shā.ir ab tak to ye kahtā thā ki merā mahbūb
kuchh is andāz se chup-chāp mire paas aayā
jaise phūloñ pe utartī hai subuk-pā shabnam
lekin is daur ko kyā jāniye kyā rog lagā
ab to mahbūb kī aamad bhī nahīñ hashr se kam
ek ik saañs meñ haiñ kitne chhanāke barpā
ab to mas kartī hai jab aise ezār-e-gul se
aisī āvāz se guuñj uThtī hai gulshan kī fazā
jaise jalte hue jañgal pe baras jaa.e ghaTā
fan ke me.aar badalte to haiñ lekin ab ke
is qadar shor hai kyuuñ ai mire ḳhāmosh ḳhudā
shair ab tak to ye kahta tha ki mera mahbub
kuchh is andaz se chup-chap mere pas aaya
jaise phulon pe utarti hai subuk-pa shabnam
lekin is daur ko kya jaaniye kya rog laga
ab to mahbub ki aamad bhi nahin hashr se kam
ek ek sans mein hain kitne chhanake barpa
ab to mas karti hai jab aise ezar-e-gul se
aisi aawaz se gunj uThti hai gulshan ki faza
jaise jalte hue jangal pe baras jae ghaTa
fan ke mear badalte to hain lekin ab ke
is qadar shor hai kyun ai mere KHamosh KHuda
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 69)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.