megha
jab meghā aatī hai
sab ko pata chul jaatā hai
kabhī us kī hañsī se
kabhī us kī ḳhushbū se
kabhī kānoñ ke jhumke
kabhī aañkh kā kājal
sab ko batā dete haiñ
meghā kahīñ qarīb hī hai
us kī hañsī kī khanak āj-kal
baḌī gahrī hai
āñchal bhī lahrā.e haiñ magar
koī jāntā nahīñ is saarī raunaq se
pare ek dil hai
jo dhḌaknā band karne ko hai
sāñseñ aksar ghuTne lagtī haiñ
magar meghā jāgtī hai
phir se ḳhud ko sañvārtī hai!
jab megha aati hai
sab ko pata chul jata hai
kabhi us ki hansi se
kabhi us ki KHushbu se
kabhi kanon ke jhumke
kabhi aankh ka kajal
sab ko bata dete hain
megha kahin qarib hi hai
us ki hansi ki khanak aaj-kal
baDi gahri hai
aanchal bhi lahrae hain magar
koi jaanta nahin is sari raunaq se
pare ek dil hai
jo dhDakna band karne ko hai
sansen aksar ghuTne lagti hain
magar megha jagti hai
phir se KHud ko sanwarti hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.