wo
vo kitāb-e-husn vo ilm o adab kī tāliba
vo mohazzab vo muaddab vo muqaddas rāhiba
kis qadar pairāya parvar aur kitnī sāda-kār
kis qadar sanjīda o ḳhāmosh kitnī bā-vaqār
gesu-e-pur-ḳham savād-e-dosh tak pahuñche hue
aur kuchh bikhre hue uljhe hue simTe hue
rañg meñ us ke azāb-e-ḳhīrgī shāmil nahīñ
kaif-e-ehsāsāt kī afsurdagī shāmil nahīñ
vo mire aate hī us kī nukta-parvar ḳhāmushī
jaise koī huur ban jaa.e yakāyak falsafī
mujh pe kyā ḳhud apnī fitrat par bhī vo khultī nahīñ
aisī pur-asrār laḌkī maiñ ne dekhī hī nahīñ
duḳhtarān-e-shahr kī hotī hai jab mahfil kahīñ
vo ta.āruf ke liye aage kabhī baḌhtī nahīñ
wo kitab-e-husn wo ilm o adab ki taliba
wo mohazzab wo muaddab wo muqaddas rahiba
kis qadar pairaya parwar aur kitni sada-kar
kis qadar sanjida o KHamosh kitni ba-waqar
gesu-e-pur-KHam sawad-e-dosh tak pahunche hue
aur kuchh bikhre hue uljhe hue simTe hue
rang mein us ke azab-e-KHirgi shamil nahin
kaif-e-ehsasat ki afsurdagi shamil nahin
wo mere aate hi us ki nukta-parwar KHamushi
jaise koi hur ban jae yakayak falsafi
mujh pe kya KHud apni fitrat par bhi wo khulti nahin
aisi pur-asrar laDki main ne dekhi hi nahin
duKHtaran-e-shahr ki hoti hai jab mahfil kahin
wo taaruf ke liye aage kabhi baDhti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.