mehman
aaj kī raat aur baaqī hai
kal to jaanā hī hai safar pe mujhe
zindagī muntazir hai muñh phāḌe
zindagī ḳhaak o ḳhuun meñ luthḌī
aañkh meñ sho.ala-hā-e-tund liye
do ghaḌī ḳhud ko shādmāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
chalne hī ko hai ik sumūm abhī
raqs-farmā hai rūh-e-barbādī
barbariyat ke kārvānoñ se
zalzale meñ hai sīna-e-gītī
zauq-e-pinhāñ ko kāmrāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
ek paimāna-e-mai-e-sarjosh
lutf-e-guftār garmi-e-āġhosh
bose is darja ātishīñ bose
phūñk Dāleñ jo merī kisht-e-hosh
ruuh yaḳh-basta hai tapāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
ek do aur sāġhar-e-sarshār
phir to honā hī hai mujhe hoshiyār
chheḌnā hī hai sāz-e-zīst mujhe
aag barsā.eñge lab-e-guftār
kuchh tabī.at to ham ravāñ kar leñ
aaj kī raat aur baaqī hai
phir kahāñ ye hasīñ suhānī raat
ye farāġhat ye kaif ke lamhāt
kuchh to āsūdgi-e-zauq-e-nihāñ
kuchh to taskīn-e-shorish-e-jazbāt
aaj kī raat jāvedāñ kar leñ
aaj kī raat aur aaj kī raat
aaj ki raat aur baqi hai
kal to jaana hi hai safar pe mujhe
zindagi muntazir hai munh phaDe
zindagi KHak o KHun mein luthDi
aankh mein shoala-ha-e-tund liye
do ghaDi KHud ko shadman kar len
aaj ki raat aur baqi hai
chalne hi ko hai ek sumum abhi
raqs-farma hai ruh-e-barbaadi
barbariyat ke karwanon se
zalzale mein hai sina-e-giti
zauq-e-pinhan ko kaamran kar len
aaj ki raat aur baqi hai
ek paimana-e-mai-e-sarjosh
lutf-e-guftar garmi-e-aghosh
bose is darja aatishin bose
phunk Dalen jo meri kisht-e-hosh
ruh yaKH-basta hai tapan kar len
aaj ki raat aur baqi hai
ek do aur saghar-e-sarshaar
phir to hona hi hai mujhe hoshiyar
chheDna hi hai saz-e-zist mujhe
aag barsaenge lab-e-guftar
kuchh tabiat to hum rawan kar len
aaj ki raat aur baqi hai
phir kahan ye hasin suhani raat
ye faraghat ye kaif ke lamhat
kuchh to aasudgi-e-zauq-e-nihan
kuchh to taskin-e-shorish-e-jazbaat
aaj ki raat jawedan kar len
aaj ki raat aur aaj ki raat
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.