mehman-dari
phailī hai fazāoñ meñ ḳhushī merī nazar kī
hañstī nazar aatī haiñ fazā.eñ mire ghar kī
dil-shād mire ahl-o-ayāl aaj bahut haiñ
masrūf haiñ vo bhī nahīñ masrūf faqat maiñ
rakhī hai salīqe se har ik kaam kī chiiz aaj
mehmān mire ghar meñ haiñ kuchh mere aziiz aaj
shādī kā makāñ ghar mirā ma.alūm na ho kyuuñ
majma.a ho jab itnā to bhalā dhuum na ho kyuuñ
bhaa.ī bhī haiñ bahnoī bhī bhāvaj bhī bahan bhī
baiThā hai bhatījā bhī bhatīje kī dulhan bhī
bachchī idhar ik baiTh ke taktī hai dulhan ko
kuchh tifl satāte haiñ udhar apnī bahan ko
bachchoñ pe jhalak ḳhaas hai tanvīr-e-sahar kī
uTh baiThe haiñ sab sunte hī āvāz gajar kī
dilkash ye fazā sub.h kī ye nuur kā taḌkā
bulbul kī tarah bol rahā hai koī laḌkā
be-vaj.h koī rone pe āmāda huā hai
hairat se na.e gur ko koī dekh rahā hai
baiThā hai ye chup dauḌ rahā hai vo ḳhushī se
khāne ke liye zid koī kartā hai abhī se
karnā hai jo sāmān-e-ziyāfat ko farāham
aa aa ke mire kaan meñ kuchh kahtī haiñ begam
honā hai jo ḳhūbī se ziyāfat kā sar-anjām
laḌkī ke zariye se bhī pahuñchātī haiñ paiġhām
aatī bhī haiñ jaatī bhī haiñ begam sū-e-matbaḳh
māmāoñ meñ be-vaqt jahāñ hotī hai chaḳh chaḳh
rāhat na mile kyuuñ unheñ halkī tag-o-dau meñ
saa.e kī tarah saath hai laḌkī bhī jilau meñ
nannhī abhī uTThī nahīñ pahlū se phuphī ke
letī haiñ vo rah rah ke maze us kī hañsī ke
laḌke mire ḳhush ho ke udhar dekh rahe haiñ
iḳhlās-o-mohabbat se muḳhātib huuñ jidhar maiñ
majma.a ye azīzoñ kā mohabbat kī ye bāteñ
in pyaar kī bātoñ meñ na choTeñ haiñ na ghāteñ
anvār tabassum ke takallum se haiñ paidā
zau sub.h kī is manzar-e-dil-kash pe hai shaidā
bātoñ kā abhī thā tarabī silsila jaarī
nargis ne kahā aa ke hai tayyār nahārī
phaili hai fazaon mein KHushi meri nazar ki
hansti nazar aati hain fazaen mere ghar ki
dil-shad mere ahl-o-ayal aaj bahut hain
masruf hain wo bhi nahin masruf faqat main
rakhi hai saliqe se har ek kaam ki chiz aaj
mehman mere ghar mein hain kuchh mere aziz aaj
shadi ka makan ghar mera malum na ho kyun
majma ho jab itna to bhala dhum na ho kyun
bhai bhi hain bahnoi bhi bhawaj bhi bahan bhi
baiTha hai bhatija bhi bhatije ki dulhan bhi
bachchi idhar ek baiTh ke takti hai dulhan ko
kuchh tifl satate hain udhar apni bahan ko
bachchon pe jhalak KHas hai tanwir-e-sahar ki
uTh baiThe hain sab sunte hi aawaz gajar ki
dilkash ye faza subh ki ye nur ka taDka
bulbul ki tarah bol raha hai koi laDka
be-wajh koi rone pe aamada hua hai
hairat se nae gur ko koi dekh raha hai
baiTha hai ye chup dauD raha hai wo KHushi se
khane ke liye zid koi karta hai abhi se
karna hai jo saman-e-ziyafat ko faraham
aa aa ke mere kan mein kuchh kahti hain begam
hona hai jo KHubi se ziyafat ka sar-anjam
laDki ke zariye se bhi pahunchati hain paigham
aati bhi hain jati bhi hain begam su-e-matbaKH
mamaon mein be-waqt jahan hoti hai chaKH chaKH
rahat na mile kyun unhen halki tag-o-dau mein
sae ki tarah sath hai laDki bhi jilau mein
nannhi abhi uTThi nahin pahlu se phuphi ke
leti hain wo rah rah ke maze us ki hansi ke
laDke mere KHush ho ke udhar dekh rahe hain
iKHlas-o-mohabbat se muKHatib hun jidhar main
majma ye azizon ka mohabbat ki ye baaten
in pyar ki baaton mein na choTen hain na ghaten
anwar tabassum ke takallum se hain paida
zau subh ki is manzar-e-dil-kash pe hai shaida
baaton ka abhi tha tarabi silsila jari
nargis ne kaha aa ke hai tayyar nahaari
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.