mehnat
are pyāre bachcho zarā dhyān do
mirī baat ko ġhaur se tum suno
ye bastī ye bāzār saḌkeñ tamām
mashīnoñ kī baḌhtī huī dhūm-dhām
ye motor ye raileñ ye nahroñ ke haal
karishme ye bijlī ke din kī misāl
ye sarsabz khetī ye saudā-garī
zamāne kī chīzeñ ye achchhī burī
kitāboñ ke ambār ye ilm-o-fan
ye ġhunche shagūfe chaman-dar-chaman
dahakte mahakte hue lāla-zār
gulistāñ kī ye raunaqeñ pur bahār
ġharaz jo bhī duniyā meñ hai sar-basar
vo insān kī mehnatoñ kā hai samar
karoge agar tum bhī mehnat se kaam
to pāoge duniyā meñ a.alā maqām
are pyare bachcho zara dhyan do
meri baat ko ghaur se tum suno
ye basti ye bazar saDken tamam
mashinon ki baDhti hui dhum-dham
ye motor ye railen ye nahron ke haal
karishme ye bijli ke din ki misal
ye sarsabz kheti ye sauda-gari
zamane ki chizen ye achchhi buri
kitabon ke ambar ye ilm-o-fan
ye ghunche shagufe chaman-dar-chaman
dahakte mahakte hue lala-zar
gulistan ki ye raunaqen pur bahaar
gharaz jo bhi duniya mein hai sar-basar
wo insan ki mehnaton ka hai samar
karoge agar tum bhi mehnat se kaam
to paoge duniya mein aala maqam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.