mehnat karo
hai imtihāñ sar par khaḌā mehnat karo mehnat karo
bāñdho kamar baiThe ho kyā mehnat karo mehnat karo
be-shak paḌhā.ī hai savā aur vaqt hai thoḌā rahā
hai aisī mushkil baat kyā mehnat karo mehnat karo
shikve shikāyat jo ki the tum ne kahe ham ne sune
jo kuchh huā achchhā huā mehnat karo mehnat karo
mehnat karo in.aam lo in.aam par ikrām lo
jo chāhoge mil jā.egā mehnat karo mehnat karo
jo baiTh jaa.eñ haar kar kah do unheñ lalkār kar
himmat kā kuuḌā maar kar mehnat karo mehnat karo
tadbīreñ saarī kar chuke bātoñ ke dariyā bah chuke
bak bak se ab kyā fā.eda mehnat karo mehnat karo
ye biij agar Dāloge tum dil se use pā loge tum
dekhoge phir is kā mazā mehnat karo mehnat karo
mehnat jo kī jī toḌ kar har shauq se muñh moḌ kar
kar doge dam meñ faisla mehnat karo mehnat karo
khetī ho yā saudāgarī ho bhiik ho yā chākarī
sab kā sabaq yaksāñ sunā mehnat karo mehnat karo
jis din baḌe tum ho ga.e duniyā ke dhandoñ meñ phañse
paḌhne kī phir fursat kujā mehnat karo mehnat karo
bachpan rahā kis kā bhalā anjām ko socho zarā
ye to kaho khāoge kyā mehnat karo mehnat karo
hai imtihan sar par khaDa mehnat karo mehnat karo
bandho kamar baiThe ho kya mehnat karo mehnat karo
be-shak paDhai hai sawa aur waqt hai thoDa raha
hai aisi mushkil baat kya mehnat karo mehnat karo
shikwe shikayat jo ki the tum ne kahe hum ne sune
jo kuchh hua achchha hua mehnat karo mehnat karo
mehnat karo inam lo inam par ikram lo
jo chahoge mil jaega mehnat karo mehnat karo
jo baiTh jaen haar kar kah do unhen lalkar kar
himmat ka kuDa mar kar mehnat karo mehnat karo
tadbiren sari kar chuke baaton ke dariya bah chuke
bak bak se ab kya faeda mehnat karo mehnat karo
ye bij agar Daloge tum dil se use pa loge tum
dekhoge phir is ka maza mehnat karo mehnat karo
mehnat jo ki ji toD kar har shauq se munh moD kar
kar doge dam mein faisla mehnat karo mehnat karo
kheti ho ya saudagari ho bhik ho ya chaakari
sab ka sabaq yaksan suna mehnat karo mehnat karo
jis din baDe tum ho gae duniya ke dhandon mein phanse
paDhne ki phir fursat kuja mehnat karo mehnat karo
bachpan raha kis ka bhala anjam ko socho zara
ye to kaho khaoge kya mehnat karo mehnat karo
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 270)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.