mehndi
maiñ us ke naam kī mehñdī
sajā kar apne hāthoñ par
unheñ tā-der taktī huuñ
ki jitnā pyaar vo kartā hai rañg utnā hī gahrā ho
magar ye dekh kar hairān hotī huuñ
na-jāne kyuuñ
mire hāthoñ pe har mehñdī kā rañg kachchā hī aatā hai
main us ke nam ki mehndi
saja kar apne hathon par
unhen ta-der takti hun
ki jitna pyar wo karta hai rang utna hi gahra ho
magar ye dekh kar hairan hoti hun
na-jaane kyun
mere hathon pe har mehndi ka rang kachcha hi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.