meinopause
ajiib sī ittilā.a thī vo
jise maiñ ḳhud se na jaane kab se chhupā rahī thī
ajab ḳhabar thī ki jis kī bābat
maiñ ḳhud se sach bolte hue hichkichā rahī thī
ajiib dukh thā ki jis kā ehsās jāgte hī
maiñ apne mahram se apne hamdam se
aise nazreñ churā rahī thī
ki jaise mujh meñ kahīñ koī jurm ho gayā ho
ajab ḳhabar thī
jise mirā dil qubūl karne se munharif thā
magar haqīqat kā mo'tarif thā
ki shāḳh-e-jāñ par gulāb khilne ke mausamoñ ko
vidā.a kahne kī sā.ateñ ab qarīb-tar haiñ
qarīb-tar hai ki ḳhushk ho jā.eñge vo sote
ki jin kī tah meñ
hazār taḳhlīq ke ḳhazāne chhupe hue the
vo āb-e-haivāñ
vo imbisāt-o-hayāt kā be-kanār dariyā
ki dafn ho jā.egā ḳhas-o-ḳhāk roz-o-shab meñ
yahāñ se umr-e-gurez-pā jo nikal paḌī aur rāste par
to sochtī huuñ ki jaate jaate
maiñ apne ḳhāliq se ye to pūchhūñ
ḳhudā-e-sattār
ismatoñ ko hazār pardoñ meñ rakhne vaale
sifāt meñ terī adl bhī hai
to phir mire aur mere mahram ke biich tafrīq kā sabab kyā
vajūd kī kīmiyā-garī meñ
ye bāñjh-pan kā itaab tanhā mire liye kyoñ
ye ḳhushk-sālī kā aisā elān-e-ḳhās
qaht-e-numū kā uryāñ azaab tanhā mire liye kyoñ
ai mere sattār-o-kīmiyā-gar
ye roz-o-shab kā hisāb tanhā mire liye kyoñ
ajib si ittilaa thi wo
jise main KHud se na jaane kab se chhupa rahi thi
ajab KHabar thi ki jis ki babat
main KHud se sach bolte hue hichkicha rahi thi
ajib dukh tha ki jis ka ehsas jagte hi
main apne mahram se apne hamdam se
aise nazren chura rahi thi
ki jaise mujh mein kahin koi jurm ho gaya ho
ajab KHabar thi
jise mera dil qubul karne se munharif tha
magar haqiqat ka mo'tarif tha
ki shaKH-e-jaan par gulab khilne ke mausamon ko
widaa kahne ki saaten ab qarib-tar hain
qarib-tar hai ki KHushk ho jaenge wo sote
ki jin ki tah mein
hazar taKHliq ke KHazane chhupe hue the
wo aab-e-haiwan
wo imbisat-o-hayat ka be-kanar dariya
ki dafn ho jaega KHas-o-KHak roz-o-shab mein
yahan se umr-e-gurez-pa jo nikal paDi aur raste par
to sochti hun ki jate jate
main apne KHaliq se ye to puchhun
KHuda-e-sattar
ismaton ko hazar pardon mein rakhne wale
sifat mein teri adl bhi hai
to phir mere aur mere mahram ke bich tafriq ka sabab kya
wajud ki kimiya-gari mein
ye banjh-pan ka itab tanha mere liye kyon
ye KHushk-sali ka aisa elan-e-KHas
qaht-e-numu ka uryan azab tanha mere liye kyon
ai mere sattar-o-kimiya-gar
ye roz-o-shab ka hisab tanha mere liye kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.