mera aangan mera peD
merā āñgan
kitnā kushāda kitnā baḌā thā
jis meñ
mere saare khel
samā jaate the
aur āñgan ke aage thā vo peḌ ki jo mujh se kaafī ūñchā thā
lekin
mujh ko is kā yaqīñ thā
jab maiñ baḌā ho jā.ūñgā
is peḌ kī phuñgī bhī chhū lūñgā
barsoñ ba.ad
maiñ ghar lauTā huuñ
dekh rahā huuñ
ye āñgan
kitnā chhoTā hai
peḌ magar pahle se bhī thoḌā ūñchā hai
mera aangan
kitna kushada kitna baDa tha
jis mein
mere sare khel
sama jate the
aur aangan ke aage tha wo peD ki jo mujh se kafi uncha tha
lekin
mujh ko is ka yaqin tha
jab main baDa ho jaunga
is peD ki phungi bhi chhu lunga
barson baad
main ghar lauTa hun
dekh raha hun
ye aangan
kitna chhoTa hai
peD magar pahle se bhi thoDa uncha hai
- Book : Tarkash (Pg. 27)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.