Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera bap

Shakeel Azmi

mera bap

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    khulī fazā meñ saaf havā ke jaisā vo

    bārish ke paanī ke jaisā vo

    gahrā thā miTTī se rishta pairoñ

    us rishte ke biich na aa.ī chappal bhī

    ghaḌī na bāñdhī kabhī kalā.ī par us ne

    sūraj-tāre vaqt use batlāte the

    apne bal par apnī dhun meñ rahtā thā

    nahīñ kisī se gaañv meñ vo Dartā thā

    naam ḳhvāhish thī na use pahchān thī

    bas apne kāmoñ se matlab rakhtā thā

    vo daana thā vo miTTī thā

    vo paudā thā vo mausam thā

    vo sachchā ḳhālis insān thā

    jaise aadam aur havvā the

    vo tanhā thā

    ek baḌe se ghar meñ tanhā rahtā thā

    bhaiñseñ us ke saath thiiñ

    us baat samajhtī thiiñ

    vo bhī un bhāshā meñ un se bāteñ kartā thā

    ghar par aksar lagā ke taalā yūñhī

    khaliyānoñ meñ rahne vaalā baap mirā

    khetoñ khetoñ basne vaalā baap mirā

    aam chhāñv meñ sone vaalā baap mirā

    ab miTTī meñ sotā hai

    aam ke peḌ ḳhushk jaḌoñ meñ rotā hai

    khuli faza mein saf hawa ke jaisa wo

    barish ke pani ke jaisa wo

    gahra tha miTTi se rishta pairon ka

    us rishte ke bich na aai chappal bhi

    ghaDi na bandhi kabhi kalai par us ne

    suraj-tare waqt use batlate the

    apne bal par apni dhun mein rahta tha

    nahin kisi se ganw mein wo Darta tha

    nam ki KHwahish thi na use pahchan ki thi

    bas apne kaamon se matlab rakhta tha

    wo dana tha wo miTTi tha

    wo pauda tha wo mausam tha

    wo sachcha KHalis insan tha

    jaise aadam aur hawwa the

    wo tanha tha

    ek baDe se ghar mein tanha rahta tha

    bhainsen us ke sath thin

    us ki baat samajhti thin

    wo bhi un ki hi bhasha mein un se baaten karta tha

    ghar par aksar laga ke tala yunhi sa

    khaliyanon mein rahne wala bap mera

    kheton kheton basne wala bap mera

    aam ki chhanw mein sone wala bap mera

    ab miTTi mein sota hai

    aam ke peD ki KHushk jaDon mein rota hai

    Source :
    • Book : Dil Parinda Hai (Pg. 131)
    • Author : Shakeel Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : First

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now