mera dost abul-haul
dhuāñ-dhār taqrīr jis ne abhī kī thī vo aadmī hai
jo lafzoñ ke pul bāñdhtā hai
ubharte hue nau-javānoñ ko va.adoñ kī afyūn de kar
usī pul pe laatā hai aur ġharq kar ke
palaT jaatā hai hasb-e-dastūr ārām-gah ko
ye duniyā to un shola sāmān logoñ ne aapas meñ taqsīm kar lī
jo hathiyār kī shakl meñ ranj-o-ġham Dhālte haiñ
yā gola-bārūd ke kār-ḳhānoñ ke mālik haiñ
yā phir sanā-ḳhvāñ haiñ un ke
hamāre liye sirf naare bache haiñ
san.atī daur ke kaj-kulāhoñ kī dād-o-dahish rūh-parvar ho yā jān-levā
magar zindābād, āfrīñ, marhabā, ke sivā kuchh nahīñ paas apne
ye sab jāntā hai hamārī shujā.at kī parvāz kyā hai
hamārī javāñ-mardī ik sūba-jātī ta.assub se
yā firqa-vārī fasādāt se aage kuchh bhī nahīñ hai
futūhāt-e-askandarī ham ne taḳhtī pe likh kar miTā dī haiñ kab kī
hamāre ba.ad zamīñ ke tale so rahe haiñ
ajā.ib-gharoñ meñ laTaktī haiñ talvāreñ un kī
aur un ke zarrīñ libādoñ ko ghun khā gayā hai
zira-baktaroñ par clones aa ga.ī hai
ye sab jāntā hai hamārī tag-o-tāz kyā hai
hamāre shikam gar hamāre suroñ pe na hote
aur chehroñ meñ āzā-e-jinsī
to ham achchhe insān bante
hamāre gharoñ ke kam o besh sab aqabī darvāze paiham khule haiñ
hamāre lahū meñ hare laal piile bahut saare parcham khule haiñ
kahīñ se magar haq kī āvāz aatī nahīñ hai
hamārī zabāñ dil kī sāthī nahīñ hai
hamāre liye khokhlā lafz-e-jamhūriyat hai, taqārīr haiñ leaderoñ kī
hamāre liye roz-nāmoñ ke safhāt haiñ, ishtihārāt haiñ nīm-jinsī
hamāre liye devtāoñ ke but haiñ, ḳhudā ke farāmīn haiñ aur uqbā
jo bad-rañg hai haal kī tarah aur kore laTThe kī bū se bharī hai
hamāre liye sirf roTī kī jidd-o-johd
auratoñ ke barhana badan kī tamannā se aage kahīñ kuchh nahīñ hai
hamārī ragoñ meñ jo tezāb hai us kī shiddat kabhī kam na hogī!
dhuan-dhaar taqrir jis ne abhi ki thi wo aadmi hai
jo lafzon ke pul bandhta hai
ubharte hue nau-jawanon ko wadon ki afyun de kar
usi pul pe lata hai aur gharq kar ke
palaT jata hai hasb-e-dastur aaram-gah ko
ye duniya to un shola saman logon ne aapas mein taqsim kar li
jo hathiyar ki shakl mein ranj-o-gham Dhaalte hain
ya gola-barud ke kar-KHanon ke malik hain
ya phir sana-KHwan hain un ke
hamare liye sirf nare bache hain
sanati daur ke kaj-kulahon ki dad-o-dahish ruh-parwar ho ya jaan-lewa
magar zindabaad, aafrin, marhaba, ke siwa kuchh nahin pas apne
ye sab jaanta hai hamari shujaat ki parwaz kya hai
hamari jawan-mardi ek suba-jati tassub se
ya firqa-wari fasadat se aage kuchh bhi nahin hai
futuhat-e-askandari hum ne taKHti pe likh kar miTa di hain kab ki
hamare baad zamin ke tale so rahe hain
ajaib-gharon mein laTakti hain talwaren un ki
aur un ke zarrin libaadon ko ghun kha gaya hai
zira-baktaron par clones aa gai hai
ye sab jaanta hai hamari tag-o-taz kya hai
hamare shikam gar hamare suron pe na hote
aur chehron mein aaza-e-jinsi
to hum achchhe insan bante
hamare gharon ke kam o besh sab aqabi darwaze paiham khule hain
hamare lahu mein hare lal pile bahut sare parcham khule hain
kahin se magar haq ki aawaz aati nahin hai
hamari zaban dil ki sathi nahin hai
hamare liye khokhla lafz-e-jamhuriyat hai, taqarir hain leaderon ki
hamare liye roz-namon ke safhat hain, ishtihaaraat hain nim-jinsi
hamare liye dewtaon ke but hain, KHuda ke faramin hain aur uqba
jo bad-rang hai haal ki tarah aur kore laTThe ki bu se bhari hai
hamare liye sirf roTi ki jidd-o-johd
auraton ke barhana badan ki tamanna se aage kahin kuchh nahin hai
hamari ragon mein jo tezab hai us ki shiddat kabhi kam na hogi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.