mera dukh
zamīñ kī ik had
āsmāñ kī ik had hai
magar mere dukh kī koī had nahīñ hai
tum kahoge zamīñ
chāñd, sūraj, sitāre
ye ik kahkashāñ
ye sab apne hī hajm meñ
dam-ba-dam phailte jā rahe haiñ
ye maanā magar un ke phailāv kī bhī
koī āḳhirī had to hogī
maiñ ye māntā huuñ
maiñ sab jāntā huuñ
magar mere dukh kī koī had nahīñ hai...!
zamin ki ek had
aasman ki ek had hai
magar mere dukh ki koi had nahin hai
tum kahoge zamin
chand, suraj, sitare
ye ek kahkashan
ye sab apne hi hajm mein
dam-ba-dam phailte ja rahe hain
ye mana magar un ke phailaw ki bhi
koi aaKHiri had to hogi
main ye manta hun
main sab jaanta hun
magar mere dukh ki koi had nahin hai!
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.