mera ghussa kahan hai?
maiñ āsmān ke saath phailī shaam kī nāranjī raushnī huuñ
yā sūraj kī aañkh meñ reñgtī surḳh dhār?
kyā hai merā vajūd?
yaum-e-īd qurbān hotī bheḌoñ kā sabr
yā hīroñ ke ta.āqub meñ ko.elā ko.elā phirtī ḳhvāhish?
maiñ sarmā meñ abābīloñ kī murjhā.ī ruuh huuñ
yā sarmast daraḳhtoñ kī choTiyoñ meñ mad.hosh havā?
haañ...... maiñ raat kī jhilmilātī raushniyoñ ke pīchhe
uljhī ālūda shikan huuñ
bachcha jantī maañ kī āḳhirī chīḳh merī mohabbat hai
maiñ rāh-gīroñ kī lā-parvāh ḳhushī meñ
sahmā ḳhauf huuñ
maiñ gautam ke muskurāte ruḳhsāroñ kā lams huuñ
sātveñ āsmān par ġhota-zan parinde
agar merī pur-sukūn ruuh meñ parvāz karte haiñ
to phir ye kaisā bojh hai
jo tumhāre chhoḌ jaane ke ba.ad
is ġhubār-ālūd siine meñ jamne lagā hai?
lekin merā ġhussa kis sher ke badan meñ jharjharātā hai?
merī aag kis uqaab kī āñkhoñ meñ kapkapātī hai?
jise tumhārī hañsī tumhāre makkār dil
aur tumhārī dhoke-bāz naaf meñ uñDel sakūñ!
main aasman ke sath phaili sham ki naranji raushni hun
ya suraj ki aankh mein rengti surKH dhaar?
kya hai mera wajud?
yaum-e-id qurban hoti bheDon ka sabr
ya hiron ke taaqub mein koela koela phirti KHwahish?
main sarma mein ababilon ki murjhai ruh hun
ya sarmast daraKHton ki choTiyon mein madhosh hawa?
han main raat ki jhilmilati raushniyon ke pichhe
uljhi aaluda shikan hun
bachcha janti man ki aaKHiri chiKH meri mohabbat hai
main rah-giron ki la-parwah KHushi mein
sahma KHauf hun
main gautam ke muskuraate ruKHsaron ka lams hun
satwen aasman par ghota-zan parinde
agar meri pur-sukun ruh mein parwaz karte hain
to phir ye kaisa bojh hai
jo tumhaare chhoD jaane ke baad
is ghubar-alud sine mein jamne laga hai?
lekin mera ghussa kis sher ke badan mein jharjharaata hai?
meri aag kis uqab ki aankhon mein kapkapati hai?
jise tumhaari hansi tumhaare makkar dil
aur tumhaari dhoke-baz naf mein unDel sakun!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 561)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.