mera hindostan
ye hai merā vatan merā hindostāñ
ya.anī ḳhush-rañg phūloñ kā ik gulistāñ
phuul aise bhī khilte rahe haiñ yahāñ
jin kī ḳhushbū se mahkā hai saarā jahāñ
ye hai merā vatan merā hindostāñ
chishtī-o-nānak-o-gautam-o-rām kī
sab ko mālūm hai sar-zamīñ thī yahī
jin se ta.alīm insāniyat kī milī
jism hai is kī miTTī meñ sab kā nihāl
ye hai merā vatan merā hindostāñ
hai ye gāñdhī kā jauhar kā pyārā vatan
kar ga.e is pe qurbān jo jān-o-tan
is ko qudrat ne baḳhshī haiñ gañg-o-jaman
misl-e-amrit ke hai jin kā āb-e-ravāñ
ye hai merā vatan merā hindostāñ
us ke dushman haiñ 'sāhil' pas-o-pesh meñ
jaa.eñ kis raah se aur kis bhes meñ
hai himāla sā parbat mire desh meñ
qaul-e-iqbāl meñ santarī pāsbāñ
ye hai merā vatan merā hindostāñ
ye hai mera watan mera hindostan
yani KHush-rang phulon ka ek gulistan
phul aise bhi khilte rahe hain yahan
jin ki KHushbu se mahka hai sara jahan
ye hai mera watan mera hindostan
chishti-o-nanak-o-gautam-o-ram ki
sab ko malum hai sar-zamin thi yahi
jin se talim insaniyat ki mili
jism hai is ki miTTi mein sab ka nihaal
ye hai mera watan mera hindostan
hai ye gandhi ka jauhar ka pyara watan
kar gae is pe qurban jo jaan-o-tan
is ko qudrat ne baKHshi hain gang-o-jaman
misl-e-amrit ke hai jin ka aab-e-rawan
ye hai mera watan mera hindostan
us ke dushman hain 'sahil' pas-o-pesh mein
jaen kis rah se aur kis bhes mein
hai himala sa parbat mere desh mein
qaul-e-iqbaal mein santari pasban
ye hai mera watan mera hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.