mera jurm
devtāoñ ne mujh se kahā thā ki jab
chandr-māoñ ke ā.īnoñ par gard jam jā.egī
aur sūraj samundar kī gahrā.iyoñ meñ utar jā.eñge
tab har ik rañg kālak meñ tabdīl ho jā.egā
rasta rasta añdhere bikhar jā.eñge
aur tum ko havā ban ke chup-chāp
andhe safar par nikalnā paḌegā
hazāroñ baras
maut kī vādiyoñ meñ bhaTaknā paḌegā
mirā jurm ye hai ki maiñ aise sūraj se paidā huā
jis kī taqdīr meñ ek pal kā
faqat ek pal kā ujālā likhā hai
mirā jurm ye hai: ki maiñ is tamāshe meñ laayā gayā
āḳhirī aadmī huuñ
dewtaon ne mujh se kaha tha ki jab
chandr-maon ke aainon par gard jam jaegi
aur suraj samundar ki gahraiyon mein utar jaenge
tab har ek rang kalak mein tabdil ho jaega
rasta rasta andhere bikhar jaenge
aur tum ko hawa ban ke chup-chap
andhe safar par nikalna paDega
hazaron baras
maut ki wadiyon mein bhaTakna paDega
mera jurm ye hai ki main aise suraj se paida hua
jis ki taqdir mein ek pal ka
faqat ek pal ka ujala likha hai
mera jurm ye hai: ki main is tamashe mein laya gaya
aaKHiri aadmi hun
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.