mera lams
tumhārā ehsās
safed resham se
banā huā hai
maiñ
use chhūne se Dartā huuñ
merā lams
use mailā na kar de
ehsās se ziyāda ujlī laḌkī
tumhārī ujlāhaT hī
tumhārā vasf hai
tum to ḳhud bhī
apne aap tak nahīñ pahuñch sakīñ
maiñ tum se pahle
tum tak kaise pahuñchūñ
merā mailā-pan musalsal
tumheñ ghuur rahā hai
tumhaara ehsas
safed resham se
bana hua hai
main
use chhune se Darta hun
mera lams
use maila na kar de
ehsas se ziyaada ujli laDki
tumhaari ujlahaT hi
tumhaara wasf hai
tum to KHud bhi
apne aap tak nahin pahunch sakin
main tum se pahle
tum tak kaise pahunchun
mera maila-pan musalsal
tumhein ghur raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.