mera nazriya-e-sher
sher kyā hai husn kī har ek shai meñ justujū
ik nigār-e-husn se parde ke pīchhe guftugū
ik umīd-e-sub.h nūrānī añdherī raat meñ
mehr-e-tābinda kā jalva sīna-e-zarrāt meñ
ārzū-e-bahr kā qatre ke dil meñ irti.āsh
ik ham-āhangī kī fitrat mazāhir meñ talāsh
parda-e-har-lafz meñ poshīda ma.anī kā shu.ūr
be-niyāz-e-jām-o-sāġhar ek rūhānī surūr
ye latāfat mādde kā baar uThā saktī nahīñ
sher kī ismat havas kī taab lā saktī nahīñ
sher kya hai husn ki har ek shai mein justuju
ek nigar-e-husn se parde ke pichhe guftugu
ek umid-e-subh nurani andheri raat mein
mehr-e-tabinda ka jalwa sina-e-zarraat mein
aarzu-e-bahr ka qatre ke dil mein irtiash
ek ham-ahangi ki fitrat mazahir mein talash
parda-e-har-lafz mein poshida mani ka shuur
be-niyaz-e-jam-o-saghar ek ruhani surur
ye latafat madde ka bar uTha sakti nahin
sher ki ismat hawas ki tab la sakti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.